Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

eid

MORE BYMaikash Hyderabadi

    ai jamāl-e-dost terī diid honī chāhiye

    ġham-zadoñ bhī to āḳhir eid honī chāhiye

    jab nahīñ hai aap ko tark-e-ta.alluq ḳhayāl

    aap ke qaul se tardīd honī chāhiye

    māntā huuñ maiñ ki be-shak qaul ke sachche haiñ aap

    lekin apne ahd tajdīd honī chāhiye

    merī jānib se sahī tahrīk-e-takmīl-e-vafā

    lekin us ko aap tā.īd honī chāhiye

    aap ne tanqīs kar dāstān-e-shauq

    merā ye armān thā tanqīd honī chāhiye

    har qadam par rah-rav-e-ulfat ko manzil ke liye

    shauq honā chāhiye ummīd honī chāhiye

    jo bayāñ iz.hār-e-harf-e-mudda.ā par ḳhatm ho

    us bilkul muḳhtasar tamhīd honī chāhiye

    ham ko bhī ma.alūm ho kin se hai raunaq bazm

    aap ke ahbāb tafrīd honī chāhiye

    aap jab chāheñ mire chullū maiñ talchhaT Daal deñ

    kab kahā thā mahfil-e-jamshed honī chāhiye

    sajda-rezī ke liye is rahguzar meñ ai jabīñ

    naqsh-e-pā-e-dost taqlīd honī chāhiye

    ai jamal-e-dost teri did honi chahiye

    gham-zadon ki bhi to aaKHir eid honi chahiye

    jab nahin hai aap ko tark-e-talluq ka KHayal

    aap hi ke qaul se tardid honi chahiye

    manta hun main ki be-shak qaul ke sachche hain aap

    lekin apne ahd ki tajdid honi chahiye

    meri jaanib se sahi tahrik-e-takmil-e-wafa

    lekin us ko aap ki taid honi chahiye

    aap ne tanqis kar di dastan-e-shauq ki

    mera ye arman tha tanqid honi chahiye

    har qadam par rah-raw-e-ulfat ko manzil ke liye

    shauq hona chahiye ummid honi chahiye

    jo bayan izhaar-e-harf-e-muddaa par KHatm ho

    us ki bilkul muKHtasar tamhid honi chahiye

    hum ko bhi malum ho kin se hai raunaq bazm ki

    aap ke ahbab ki tafrid honi chahiye

    aap jab chahen mere chullu main talchhaT Dal den

    kab kaha tha mahfil-e-jamshed honi chahiye

    sajda-rezi ke liye is rahguzar mein ai jabin

    naqsh-e-pa-e-dost ki taqlid honi chahiye

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now