pandrah august
ghaTā hai ghanghor raat kaalī fazā meñ bijlī chamak rahī hai
milan kā siina ubhār par hai birah kī chhātī dhaḌak rahī hai
havā jo mastī meñ chuur ho kar qadam qadam par bahak rahī hai
kamar hai har shāḳh-e-gul kī nāzuk Thahar Thahar kar lachak rahī hai
havā pe chaltā hai hukm in kā ghaTā.eñ bhartī haiñ in kā paanī
inhīñ se surḳhī bahār kī hai inhīñ se barsāt kī kahānī
inhīñ se chashme inhīñ se jharne inhīñ se jharnoñ kī naġhma-ḳhvānī
inhīñ se parbat inhīñ se dariyā inhīñ se dariyāoñ kī ravānī
fareb de kar chalī na jaa.eñ baḌī dhueñ-dhār haiñ ghaTā.eñ
jab aa ga.ī haiñ to jam ke barse baġhair barse na lauT jaa.eñ
mile nayā sab ko ek jīvan chaman khileñ khet lahlahā.eñ
havā mohabbat kā raag alāpe kisān dhartī ke giit gaa.eñ
yahāñ pe hai sab kā ek darja koī bhī chhoTā baḌā nahīñ hai
jahāñ pe ho imtiyāz is kā vo mai-kada mai-kada nahīñ hai
nikal zarā ghar se ġham ke maare urūs-e-fitrat ke kar nazāre
sazā samajh kar na kaaT pyāre ye zindagī hai sazā nahīñ hai
kiyā hai jis jis ne duur añdherā use use raushnī meñ laao
jahāñ jahāñ dafn hai ujālā vahāñ vahāñ par diye jalāo
qasam hai āzādī-e-vatan kī adāvat aapas kī bhuul jaao
kiyā ho jis ne gilā tumhārā use bhī baḌh kar gale lagāo
qadam jo aage baḌhā.e sab kī zabāñ se doharāo vo kahānī
'nazīr' pañdrah august se lo na.e irāde na.ī javānī
havā se kah do ki saaz chheḌe amar shahīdoñ ke bāñkpan kā
sunāo yaaro vatan ke naġhme ye din hai āzādī-e-vatan kā
ghaTa hai ghanghor raat kali faza mein bijli chamak rahi hai
milan ka sina ubhaar par hai birah ki chhati dhaDak rahi hai
hawa jo masti mein chur ho kar qadam qadam par bahak rahi hai
kamar hai har shaKH-e-gul ki nazuk Thahar Thahar kar lachak rahi hai
hawa pe chalta hai hukm in ka ghaTaen bharti hain in ka pani
inhin se surKHi bahaar ki hai inhin se barsat ki kahani
inhin se chashme inhin se jharne inhin se jharnon ki naghma-KHwani
inhin se parbat inhin se dariya inhin se dariyaon ki rawani
fareb de kar chali na jaen baDi dhuen-dhaar hain ghaTaen
jab aa gai hain to jam ke barse baghair barse na lauT jaen
mile naya sab ko ek jiwan chaman khilen khet lahlahaen
hawa mohabbat ka rag alape kisan dharti ke git gaen
yahan pe hai sab ka ek darja koi bhi chhoTa baDa nahin hai
jahan pe ho imtiyaz is ka wo mai-kada mai-kada nahin hai
nikal zara ghar se gham ke mare urus-e-fitrat ke kar nazare
saza samajh kar na kaT pyare ye zindagi hai saza nahin hai
kiya hai jis jis ne dur andhera use use raushni mein lao
jahan jahan dafn hai ujala wahan wahan par diye jalao
qasam hai aazadi-e-watan ki adawat aapas ki bhul jao
kiya ho jis ne gila tumhaara use bhi baDh kar gale lagao
qadam jo aage baDhae sab ki zaban se doharao wo kahani
'nazir' pandrah august se lo nae irade nai jawani
hawa se kah do ki saz chheDe amar shahidon ke bankpan ka
sunao yaro watan ke naghme ye din hai aazadi-e-watan ka
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 327)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.