pandrah august
ḳhushiyoñ ke giit gaao ki pañdrah august hai
sab mil ke muskurāo ki pañdrah august hai
har samt qahqahe haiñ charāġhāñ hai har taraf
tum ḳhud bhī jagmagāo ki pañdrah august hai
har gosha-e-vatan ko nikhāro sañvār do
mahkāo lahlahāo ki pañdrah august hai
āzādī-e-vatan pe hue haiñ ka.ī nisār
ḳhātir meñ in ko laao ki pañdrah august hai
rakkho na sirf ḳhanda-e-gul haiñ nigāh meñ
kāñToñ ko bhī hañsāo ki pañdrah august hai
rūheñ amān-o-amn kī pyāsī haiñ aaj bhī
pyaas in kī ab bujhāo ki pañdrah august hai
sham.a ḳhulūs-o-uns kī maddham hai raushnī
lau aur kuchh baḌhāo ki pañdrah august hai
ye ahd tum karo ki fasādāt phir na hoñ
haañ aag ye bujhāo ki pañdrah august hai
khaao qasam ki ḳhuun pilā.eñge mulk ko
dil se qasam ye khaao ki pañdrah august hai
har hādse meñ ahl-e-vatan musta.id raheñ
vo valvala jagāo ki pañdrah august hai
ūñchā rahe sharāfat-o-aḳhlāq kā alam
parcham buland uThāo ki pañdrah august hai
ho dard-e-dil meñ jazba-e-hubb-e-vatan fuzūñ
'maftūñ' qalam uThāo ki pañdrah august hai
KHushiyon ke git gao ki pandrah august hai
sab mil ke muskurao ki pandrah august hai
har samt qahqahe hain charaghan hai har taraf
tum KHud bhi jagmagao ki pandrah august hai
har gosha-e-watan ko nikhaaro sanwar do
mahkao lahlahao ki pandrah august hai
aazadi-e-watan pe hue hain kai nisar
KHatir mein in ko lao ki pandrah august hai
rakkho na sirf KHanda-e-gul hain nigah mein
kanTon ko bhi hansao ki pandrah august hai
ruhen aman-o-amn ki pyasi hain aaj bhi
pyas in ki ab bujhao ki pandrah august hai
shama KHulus-o-uns ki maddham hai raushni
lau aur kuchh baDhao ki pandrah august hai
ye ahd tum karo ki fasadat phir na hon
han aag ye bujhao ki pandrah august hai
khao qasam ki KHun pilaenge mulk ko
dil se qasam ye khao ki pandrah august hai
har hadse mein ahl-e-watan mustaid rahen
wo walwala jagao ki pandrah august hai
uncha rahe sharafat-o-aKHlaq ka alam
parcham buland uThao ki pandrah august hai
ho dard-e-dil mein jazba-e-hubb-e-watan fuzun
'maftun' qalam uThao ki pandrah august hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.