pandrah august
fard fard mast hai
pañdrah august hai
josh hai ubaal hai
rañg hai gulāl hai
galī galī haiñ raunaqeñ
ajiib sī haiñ raunaqeñ
ham kabhī ġhulām the
bhārtī ġhulām the
zindagī kī shaam thī
saañs tak ġhulām thī
firañgiyoñ ke jaur se
bhārtī niDhāl the
zulm jab bahut huā
apnī had se baḌh gayā
bhārtī biphar ga.e
ham sabhī biphar ga.e
jān-o-māl taj diyā
ghar ayaal taj diyā
ek ho ga.e jo ham
duur ho gayā alam
hurriyat milī hameñ
āfiyat milī hameñ
fard fard mast hai
pañdrah august hai
fard fard mast hai
pandrah august hai
josh hai ubaal hai
rang hai gulal hai
gali gali hain raunaqen
ajib si hain raunaqen
hum kabhi ghulam the
bhaarti ghulam the
zindagi ki sham thi
sans tak ghulam thi
firangiyon ke jaur se
bhaarti niDhaal the
zulm jab bahut hua
apni had se baDh gaya
bhaarti biphar gae
hum sabhi biphar gae
jaan-o-mal taj diya
ghar ayal taj diya
ek ho gae jo hum
dur ho gaya alam
hurriyat mili hamein
aafiyat mili hamein
fard fard mast hai
pandrah august hai
- Book : بچوں کا ماہنامہ امنگ (Pg. 42)
- Author : جمیل فاطمی
- Publication : اردو اکادمی دہلی (اگست 2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.