KHak-e-hind
ai ḳhāk-e-hind terī azmat meñ kyā gumāñ hai
dariya-e-faiz-e-qudarat tere liye ravāñ hai
tere jabīñ se nūr-e-husn-e-azal ayaañ hai
allāh-re zeb-o-zīnat kyā auj-e-izz-o-shāñ hai
har sub.h hai ye ḳhidmat ḳhurshīd-e-pur-ziyā kī
kirnoñ se gūñdhtā hai choTī himāliyā kī
is ḳhāk-e-dil-nashīñ se chashme hue vo jaarī
chiin o arab meñ jin se hotī thī ābiyārī
saare jahāñ pe jab thā vahshat kā abr taarī
chashm-o-charāġh-e-ālam thī sar-zamīñ hamārī
sham-e-adab na thī jab yūnāñ kī anjuman meñ
tābāñ thā mahr-e-dānish is vādī-e-kuhan meñ
'gautum' ne aabrū dī is ma.abad-e-kuhan ko
'sarmad' ne is zamīñ par sadqe kiyā vatan ko
'akbar' ne jām-e-ulfat baḳhshā is anjuman ko
sīñchā lahū se apne 'rānā' ne is chaman ko
sab sūrbīr apne is ḳhaak meñ nihāñ haiñ
TuuTe hue khañDar haiñ yā un kī haDDiyāñ haiñ
dīvār-o-dar se ab tak un kā asar ayaañ hai
apnī ragoñ meñ ab tak un kā lahū ravāñ hai
ab tak asar meñ Duubī nāqūs kī fuġhāñ hai
firdaus-e-gosh ab tak kaifiyyat-e-azāñ hai
kashmīr se ayaañ hai jannat kā rañg ab tak
shaukat se bah rahā hai dariyā-e-gañg ab tak
aglī sī tāzgī hai phūloñ meñ aur phaloñ meñ
karte haiñ raqs ab tak tā.ūs jañgaloñ meñ
ab tak vahī kaḌak hai bijlī kī bādaloñ meñ
pastī sī aa ga.ī hai par dil ke hausloñ meñ
gul sham-e-anjuman hai go anjuman vahī hai
hubb-e-vatan vahī hai ḳhāk-e-vatan vahī hai
barsoñ se ho rahā hai barham samāñ hamārā
duniyā se miT rahā hai nām-o-nishāñ hamārā
kuchh kam nahīñ ajal se ḳhvāb-e-girāñ hamārā
ik lāsh-e-be-kafan hai hindostān hamārā
ilm-o-kamāl o īmāñ barbād ho rahe haiñ
aish-o-tarab ke bande ġhaflat meñ so rahe haiñ
ai sūr-e-hubb-e-qaumī is ḳhvāb se jagā de
bhūlā huā fasāna kānoñ ko phir sunā de
murda tabī.atoñ kī afsurdagī miTā de
uThte hue sharāre is raakh se dikhā de
hubb-e-vatan samā.e āñkhoñ meñ nuur ho kar
sar meñ ḳhumār ho kar dil meñ surūr ho kar
shaidā-e-bostāñ ko sarv-o-saman mubārak
rañgīñ tabī.atoñ ko rañg-e-suḳhan mubārak
bulbul ko gul mubārak gul ko chaman mubārak
ham be-kasoñ ko apnā pyārā vatan mubārak
ġhunche hamāre dil ke is baaġh meñ khileñge
is ḳhaak se uThe haiñ is ḳhaak meñ mileñge
hai jū-e-shīr ham ko nūr-e-sahar vatan kā
āñkhoñ kī raushnī hai jalva is anjuman kā
hai rashk-e-mahr zarra is manzil-e-kuhan kā
tultā hai barg-e-gul se kāñTā bhī is chaman kā
gard-o-ġhubār yaañ kā ḳhil.at hai apne tan ko
mar kar bhī chāhte haiñ ḳhāk-e-vatan kafan ko
ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
dariya-e-faiz-e-qudarat tere liye rawan hai
tere jabin se nur-e-husn-e-azal ayan hai
allah-re zeb-o-zinat kya auj-e-izz-o-shan hai
har subh hai ye KHidmat KHurshid-e-pur-ziya ki
kirnon se gundhta hai choTi himaliya ki
is KHak-e-dil-nashin se chashme hue wo jari
chin o arab mein jin se hoti thi aabiyari
sare jahan pe jab tha wahshat ka abr tari
chashm-o-charagh-e-alam thi sar-zamin hamari
sham-e-adab na thi jab yunan ki anjuman mein
taban tha mahr-e-danish is wadi-e-kuhan mein
'gautum' ne aabru di is mabad-e-kuhan ko
'sarmad' ne is zamin par sadqe kiya watan ko
'akbar' ne jam-e-ulfat baKHsha is anjuman ko
sincha lahu se apne 'rana' ne is chaman ko
sab surbir apne is KHak mein nihan hain
TuTe hue khanDar hain ya un ki haDDiyan hain
diwar-o-dar se ab tak un ka asar ayan hai
apni ragon mein ab tak un ka lahu rawan hai
ab tak asar mein Dubi naqus ki fughan hai
firdaus-e-gosh ab tak kaifiyyat-e-azan hai
kashmir se ayan hai jannat ka rang ab tak
shaukat se bah raha hai dariya-e-gang ab tak
agli si tazgi hai phulon mein aur phalon mein
karte hain raqs ab tak taus jangalon mein
ab tak wahi kaDak hai bijli ki baadalon mein
pasti si aa gai hai par dil ke hauslon mein
gul sham-e-anjuman hai go anjuman wahi hai
hubb-e-watan wahi hai KHak-e-watan wahi hai
barson se ho raha hai barham saman hamara
duniya se miT raha hai nam-o-nishan hamara
kuchh kam nahin ajal se KHwab-e-giran hamara
ek lash-e-be-kafan hai hindostan hamara
ilm-o-kamal o iman barbaad ho rahe hain
aish-o-tarab ke bande ghaflat mein so rahe hain
ai sur-e-hubb-e-qaumi is KHwab se jaga de
bhula hua fasana kanon ko phir suna de
murda tabiaton ki afsurdagi miTa de
uThte hue sharare is rakh se dikha de
hubb-e-watan samae aankhon mein nur ho kar
sar mein KHumar ho kar dil mein surur ho kar
shaida-e-bostan ko sarw-o-saman mubarak
rangin tabiaton ko rang-e-suKHan mubarak
bulbul ko gul mubarak gul ko chaman mubarak
hum be-kason ko apna pyara watan mubarak
ghunche hamare dil ke is bagh mein khilenge
is KHak se uThe hain is KHak mein milenge
hai ju-e-shir hum ko nur-e-sahar watan ka
aankhon ki raushni hai jalwa is anjuman ka
hai rashk-e-mahr zarra is manzil-e-kuhan ka
tulta hai barg-e-gul se kanTa bhi is chaman ka
gard-o-ghubar yan ka KHilat hai apne tan ko
mar kar bhi chahte hain KHak-e-watan kafan ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.