ek jila-watan ki wapsi
phir ḳhabar garm hai vo jān-e-vatan aatā hai
phir vo zindānī-e-zindān-e-vatan aatā hai
vo ḳharāb-e-gul-o-raihān-e-vatan aatā hai
misr se yūsuf-e-kan.ān-e-vatan aatā hai
''koī ma.ashūq ba-sad-shaukat-o-nāz aatā hai
surḳh bairaq hai samundar meñ jahāz aatā hai''
riñd-e-be-kaif ko thī bāda-o-sāġhar kī talāsh
nāzir-e-manzar-e-fitrat ko thī manzar kī talāsh
ek bhañvre ko ḳhizāñ meñ thī gul-e-tar kī talāsh
ḳhud sanam-ḳhāna-e-āzar ko thī aazar kī talāsh
muzhda ai dost ki vo jān-e-bahār aa pahuñchā!
apne dāman meñ liye barq-o-sharār aa pahuñchā!
apnā parcham vo kuchh is andāz se lahrātā hai
rañg aġhyār ke chehroñ se uḌā jaatā hai
koī shādāñ, koī hairāñ, koī sharmātā hai
kaun ye sāhil-e-mashriq pe nazar aatā hai
apne maiḳhāne kā ik mai-kash-e-behāl hai ye
haañ vahī mard-e-javāñ-baḳht o javāñ-sāl hai ye
mard-e-sarkash tujhe aadam kī kahānī kī qasam
rūh-e-insāñ ke taqāzā-e-nihānī kī qasam
jazba-e-aish kī har shorish-e-fānī kī qasam
tujh ko apnī isī bad-mast javānī kī qasam
aa ki ik baar gale se to lagā leñ tujh ko
apne āġhosh-e-mohabbat meñ uThā leñ tujh ko
nutq to ab bhī hai par shola-fishāñ hai ki nahīñ
soz-e-pinhāñ se tirī ruuh tapāñ hai ki nahīñ
tujh pe ye baar ġhulāmī kā girāñ hai ki nahīñ
jism meñ ḳhuun javānī kā ravāñ hai ki nahīñ
aur agar hai to phir aa tere parastār haiñ ham
jins-e-āzādī-e-insāñ ke ḳharīdār haiñ ham
saaqī o rind tire haiñ mai-e-gulfām tirī
uTh ki āsūda hai phir hasrat-e-nākām tirī
barhaman tere haiñ kul millat-e-islām tirī
sub.h-e-kāshī tirī, sañgam kī hasīñ shaam tirī
dekh shamshīr hai ye saaz hai ye jaam hai ye
tū jo shamshīr uThā le to baḌā kaam hai ye
dekh badlā nazar aatā hai gulistāñ kā samāñ
sāġhar o saaz na le, jañg ke na.are haiñ yahāñ
ye duā.eñ haiñ vo mazlūm kī aahoñ kā dhuāñ
mā.il-e-jañg nazar aatā hai har mard-e-javāñ
sarfaroshān-e-balā-kash kā sahārā ban jā
uTh aur aflāk-e-baġhāvat kā sitārā ban jā
phir KHabar garm hai wo jaan-e-watan aata hai
phir wo zindani-e-zindan-e-watan aata hai
wo KHarab-e-gul-o-raihan-e-watan aata hai
misr se yusuf-e-kanan-e-watan aata hai
koi mashuq ba-sad-shaukat-o-naz aata hai
surKH bairaq hai samundar mein jahaz aata hai
rind-e-be-kaif ko thi baada-o-saghar ki talash
nazir-e-manzar-e-fitrat ko thi manzar ki talash
ek bhanwre ko KHizan mein thi gul-e-tar ki talash
KHud sanam-KHana-e-azar ko thi aazar ki talash
muzhda ai dost ki wo jaan-e-bahaar aa pahuncha!
apne daman mein liye barq-o-sharar aa pahuncha!
apna parcham wo kuchh is andaz se lahraata hai
rang aghyar ke chehron se uDa jata hai
koi shadan, koi hairan, koi sharmata hai
kaun ye sahil-e-mashriq pe nazar aata hai
apne maiKHane ka ek mai-kash-e-behaal hai ye
han wahi mard-e-jawan-baKHt o jawan-sal hai ye
mard-e-sarkash tujhe aadam ki kahani ki qasam
ruh-e-insan ke taqaza-e-nihani ki qasam
jazba-e-aish ki har shorish-e-fani ki qasam
tujh ko apni isi bad-mast jawani ki qasam
aa ki ek bar gale se to laga len tujh ko
apne aaghosh-e-mohabbat mein uTha len tujh ko
nutq to ab bhi hai par shola-fishan hai ki nahin
soz-e-pinhan se teri ruh tapan hai ki nahin
tujh pe ye bar ghulami ka giran hai ki nahin
jism mein KHun jawani ka rawan hai ki nahin
aur agar hai to phir aa tere parastar hain hum
jins-e-azadi-e-insan ke KHaridar hain hum
saqi o rind tere hain mai-e-gulfam teri
uTh ki aasuda hai phir hasrat-e-nakaam teri
barhaman tere hain kul millat-e-islam teri
subh-e-kashi tiri, sangam ki hasin sham teri
dekh shamshir hai ye saz hai ye jam hai ye
tu jo shamshir uTha le to baDa kaam hai ye
dekh badla nazar aata hai gulistan ka saman
saghar o saz na le, jang ke nare hain yahan
ye duaen hain wo mazlum ki aahon ka dhuan
mail-e-jang nazar aata hai har mard-e-jawan
sarfaroshan-e-bala-kash ka sahaara ban ja
uTh aur aflak-e-baghawat ka sitara ban ja
- Book : Aahang (Pg. 122)
- Author : Asrar-ul-Haq Majaz
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.