aaj
sāthiyo! maiñ ne barsoñ tumhāre liye
chāñd tāroñ bahāroñ ke sapne bune
husn aur ishq ke giit gaatā rahā
ārzūoñ ke aivāñ sajātā rahā
maiñ tumhārā muġhannī tumhāre liye
jab bhī aayā na.e giit laatā rahā
aaj lekin mire dāman-e-chāk meñ
gard-e-rāh-e-safar ke sivā kuchh nahīñ
mere barbat ke siine meñ naġhmoñ kā dam ghuT gayā
tāneñ chīḳhoñ ke ambār meñ dab ga.ī haiñ
aur gītoñ ke sur hichkiyāñ ban ga.e haiñ
maiñ tumhārā muġhannī huuñ naġhma nahīñ huuñ
aur naġhme kī taḳhlīq kā sāz-o-sāmāñ
sāthiyo! aaj tum ne bhasm kar diyā hai
aur maiñ apnā TuuTā huā saaz thāme
sard lāshoñ ke ambār ko tak rahā huuñ
mere chāroñ taraf maut kī vahshateñ nāchtī haiñ
aur insāñ kī haivāniyat jaag uThī hai
barbariyat ke ḳhūñ-ḳhār ifrīt
apne nāpāk jabḌoñ ko khole
ḳhuun pī pī ke ġhurrā rahe haiñ
bachche maaoñ kī godoñ meñ sahme hue haiñ
ismateñ sar-barahana pareshān haiñ
har taraf shor-e-āh-o-bukā hai
aur maiñ is tabāhī ke tūfān meñ
aag aur ḳhuuñ ke haijān meñ
sar-nigūñ aur shikasta makānoñ ke malbe se pur rāstoñ par
apne naġhmoñ kī jholī pasāre
dar-ba-dar phir rahā huuñ
mujh ko amn aur tahzīb kī bhiik do
mere gītoñ kī lai merā sur merī nai
mere majrūh hoñToñ ko phir sauñp do
sāthiyo! maiñ ne barsoñ tumhāre liye
inqalāb aur baġhāvat ke naġhme alāpe
ajnabī raaj ke zulm kī chhāñv meñ
sarfaroshī ke ḳhvābīda jazbe ubhāre
aur us sub.h kī raah dekhī
jis meñ is mulk kī ruuh āzād ho
aaj zanjīr-e-mahkūmiyat kaT chukī hai
aur is mulk ke bahr-o-bar bām-o-dar
ajnabī qaum ke zulmat-afshāñ pharere kī manhūs chhāñv se āzād haiñ
khet sonā ugalne ko bechain haiñ
vādiyāñ lahlahāne ko betāb haiñ
kohsāroñ ke siine meñ haijān hai
sañg aur ḳhisht be-ḳhvāb va bedār haiñ
un kī ā.ankhoñ meñ ta.amīr ke ḳhvāb haiñ
un ke ḳhvāboñ ko takmīl kā ruup do
mulk kī vādiyāñ ghāTiyāñ khetiyāñ
aurteñ bachchiyāñ
haath phailā.e ḳhairāt kī muntazir haiñ
in ko amn aur tahzīb kī bhiik do
maaoñ ko un ke hoñToñ kī shādābiyāñ
nanhe bachchoñ ko un kī ḳhushī baḳhsh do
mulk kī ruuh ko zindagī baḳhsh do
mujh ko merā hunar merī lai baḳhsh do
aaj saarī fazā hai bhikārī
aur maiñ is bhikārī fazā meñ
apne naġhmoñ kī jholī pasāre
dar-ba-dar phir rahā huuñ
mujh ko phir merā khoyā huā saaz do
maiñ tumhārā muġhannī tumhāre liye
jab bhī aayā na.e giit laatā rahūñgā
sathiyo! main ne barson tumhaare liye
chand taron bahaaron ke sapne bune
husn aur ishq ke git gata raha
aarzuon ke aiwan sajata raha
main tumhaara mughanni tumhaare liye
jab bhi aaya nae git lata raha
aaj lekin mere daman-e-chaak mein
gard-e-rah-e-safar ke siwa kuchh nahin
mere barbat ke sine mein naghmon ka dam ghuT gaya
tanen chiKHon ke ambar mein dab gai hain
aur giton ke sur hichkiyan ban gae hain
main tumhaara mughanni hun naghma nahin hun
aur naghme ki taKHliq ka saz-o-saman
sathiyo! aaj tum ne bhasm kar diya hai
aur main apna TuTa hua saz thame
sard lashon ke ambar ko tak raha hun
mere chaaron taraf maut ki wahshaten nachti hain
aur insan ki haiwaniyat jag uThi hai
barbariyat ke KHun-KHar ifrit
apne napak jabDon ko khole
KHun pi pi ke ghurra rahe hain
bachche maon ki godon mein sahme hue hain
ismaten sar-barahana pareshan hain
har taraf shor-e-ah-o-buka hai
aur main is tabahi ke tufan mein
aag aur KHun ke haijaan mein
sar-nigun aur shikasta makanon ke malbe se pur raston par
apne naghmon ki jholi pasare
dar-ba-dar phir raha hun
mujh ko amn aur tahzib ki bhik do
mere giton ki lai mera sur meri nai
mere majruh honTon ko phir saunp do
sathiyo! main ne barson tumhaare liye
inqalab aur baghawat ke naghme alape
ajnabi raj ke zulm ki chhanw mein
sarfaroshi ke KHwabida jazbe ubhaare
aur us subh ki rah dekhi
jis mein is mulk ki ruh aazad ho
aaj zanjir-e-mahkumiyat kaT chuki hai
aur is mulk ke bahr-o-bar baam-o-dar
ajnabi qaum ke zulmat-afshan pharere ki manhus chhanw se aazad hain
khet sona ugalne ko bechain hain
wadiyan lahlahane ko betab hain
kohsaron ke sine mein haijaan hai
sang aur KHisht be-KHwab wa bedar hain
un ki aaankhon mein tamir ke KHwab hain
un ke KHwabon ko takmil ka rup do
mulk ki wadiyan ghaTiyan khetiyan
aurten bachchiyan
hath phailae KHairaat ki muntazir hain
in ko amn aur tahzib ki bhik do
maon ko un ke honTon ki shadabiyan
nanhe bachchon ko un ki KHushi baKHsh do
mulk ki ruh ko zindagi baKHsh do
mujh ko mera hunar meri lai baKHsh do
aaj sari faza hai bhikari
aur main is bhikari faza mein
apne naghmon ki jholi pasare
dar-ba-dar phir raha hun
mujh ko phir mera khoya hua saz do
main tumhaara mughanni tumhaare liye
jab bhi aaya nae git lata rahunga
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 121)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.