tum jahan se seb kaTogi
sardī kī dhuup
tumhāre badan kī tarah
garm hai
maiñ ne kāġhaz kī kashtī banā kar
us par terā aur apnā naam likh kar
use chashme meñ Daalā hai
jis meñ se
tum abhī nahā kar bāhar niklī ho
ārām-kursī par baiTh kar
baal sukhāte hue
tum muskurā rahī ho
mere haath meñ ek seb hai
jis ko tum jahāñ se bhī kāTogī
vahāñ se mīThā niklegā
sardi ki dhup
tumhaare badan ki tarah
garm hai
main ne kaghaz ki kashti bana kar
us par tera aur apna nam likh kar
use chashme mein Dala hai
jis mein se
tum abhi naha kar bahar nikli ho
aaram-kursi par baiTh kar
baal sukhate hue
tum muskura rahi ho
mere hath mein ek seb hai
jis ko tum jahan se bhi kaTogi
wahan se miTha niklega
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 24)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.