tisri barish se pahle
us roz mausam-e-ḳhizāñ kī pahlī bārish huī
jab us ne mere dar se āḳhirī baar qadam nikālā
us ne merī rasoī se ek nivāla na liyā
mere kueñ se ek ghūñT na piyā
aur mere hoñToñ kā ek bosa na liyā
balki pahle liye hue saare bose
thuuk diye
jab mausam-e-ḳhizāñ kī dūsrī bārish huī
to merī rasoī meñ ek saañp niklā
mere kueñ meñ ek meñDak paidā huā
aur mere hoñToñ par pahlī papḌī jamī
tab se ab tak saañp
rasoī meñ ghaat lagā.e hai
meñDak kueñ meñ dubkā hai
aur jaane vaalā
rozāna mere dar par dastak detā hai
apne thūke hue bose
chāTne ke liye
us roz mausam-e-KHizan ki pahli barish hui
jab us ne mere dar se aaKHiri bar qadam nikala
us ne meri rasoi se ek niwala na liya
mere kuen se ek ghunT na piya
aur mere honTon ka ek bosa na liya
balki pahle liye hue sare bose
thuk diye
jab mausam-e-KHizan ki dusri barish hui
to meri rasoi mein ek sanp nikla
mere kuen mein ek meinDak paida hua
aur mere honTon par pahli papDi jami
tab se ab tak sanp
rasoi mein ghat lagae hai
meinDak kuen mein dubka hai
aur jaane wala
rozana mere dar par dastak deta hai
apne thuke hue bose
chaTne ke liye
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 37)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.