targhib aur uske baad
tarġhīb:
phir maiñ kaam meñ lag jā.ūñgā aa fursat hai pyaar kareñ
nāgin sī bal khātī uTh aur merī god meñ aan machal
bhed-bhāv kī bastī meñ koī bhed-bhāv kā naam na le
hastī par yuuñ chhā jā baḌh kar sharminda ho jaa.e ajal
chhoḌ ye laaj kā ghūñgat kab tak rahegā in āñkhoñ ke saath
chaḌhtī raat hai Dhaltā sūraj khaḌī khaḌī mat paañv mal
phir ye jaadū so jā.egā samay jo biitā gahrī niiñd
jo kuchh hai anmol hai ab tak ek ik lamha ek ik pal
bin chhūī miTTī kī ḳhushbū us kā sūñdhā sūñdhā-pan
sab kuchh chhin jā.egā ik din ab bhī vaqt hai dekh sambhal
narm ragoñ meñ mīThī mīThī Tiis jo ye uThtī hai aaj
baḌhtī mauj kā relā hai ik, Tiis na uThegī kal
mast rasīlī āñkhoñ se ye chhalkī chhalkī sī ik shai
jis ne aaj apnāyā is ko samjho us ke car saphal
maiñ tere sho.aloñ se khelūñ tū bhī merī aag se khel
maiñ bhī terī niiñd chūrā.ūñ tū bhī merī nīndeñ chhal
narm havā ke jhoñkoñ hī se khultī hai phūloñ kī aañkh
varna barsoñ saath rahe haiñ Thahrā paanī band kañval!
us ke ba.ad:
bhīgī raat kā nashsha TuuTā Duub gayā hai chaḌhtā chāñd
thake thake haiñ a.azā saare aur huiiñ palkeñ bojhal
shabnam kā ras pī ga.iiñ kirneñ din kā rañg chamak uTThā
guuñj hai bhañvroñ kī kānoñ meñ par haiñ āñkhoñ se ojhal
husn aur ishq kī is duniyā meñ kis ne kis kā saath diyā
maiñ apne raste jaatā huuñ aur tū apnī Dagar par chal!
targhib:
phir main kaam mein lag jaunga aa fursat hai pyar karen
nagin si bal khati uTh aur meri god mein aan machal
bhed-bhaw ki basti mein koi bhed-bhaw ka nam na le
hasti par yun chha ja baDh kar sharminda ho jae ajal
chhoD ye laj ka ghungat kab tak rahega in aankhon ke sath
chaDhti raat hai Dhalta suraj khaDi khaDi mat panw mal
phir ye jadu so jaega samay jo bita gahri nind
jo kuchh hai anmol hai ab tak ek ek lamha ek ek pal
bin chhui miTTi ki KHushbu us ka sundha sundha-pan
sab kuchh chhin jaega ek din ab bhi waqt hai dekh sambhal
narm ragon mein miThi miThi Tis jo ye uThti hai aaj
baDhti mauj ka rela hai ik, Tis na uThegi kal
mast rasili aankhon se ye chhalki chhalki si ek shai
jis ne aaj apnaya is ko samjho us ke car saphal
main tere shoalon se khelun tu bhi meri aag se khel
main bhi teri nind churaun tu bhi meri ninden chhal
narm hawa ke jhonkon hi se khulti hai phulon ki aankh
warna barson sath rahe hain Thahra pani band kanwal!
us ke baad:
bhigi raat ka nashsha TuTa Dub gaya hai chaDhta chand
thake thake hain aaza sare aur huin palken bojhal
shabnam ka ras pi gain kirnen din ka rang chamak uTTha
gunj hai bhanwron ki kanon mein par hain aankhon se ojhal
husn aur ishq ki is duniya mein kis ne kis ka sath diya
main apne raste jata hun aur tu apni Dagar par chal!
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 20)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.