shofer
khaT... khaT... kaun? sabīha! kaise? yūñhī, koī kaam nahīñ
pichhlī raat.. bhyānak garage.. kyā kuchh ho anjām.. nahīñ
merā zimma.. maiñ bhugtūñgī.. tum par kuchh ilzām... nahīñ
ham haiñ us aḳhlāq ke pairav, ham haiñ us tahzīb ke log
jis meñ iffat ik ''mafrūza'' ismat jis meñ '''zehnī rog''
jazboñ par pahre biThlānā kyā ''saudā-e-ḳhām'' nahīñ?
do bachchoñ ke baap.. to kyā hai? ''dil kā ho insān javān''
tum bhī aise ban jaao nā jaise ''mañjhle bhaa.ī jān...''
saalī aur salaj par laTTū, biivī se hammām nahīñ
un se.... vo.... tahzīb se ūñchī, chhoTe bhaa.ī se vaqtī chaah
shauhar aa.e na aa.e lekin devar kī ''taktī haiñ rāh''
ḳhvāhish kī takmīl bhī jārī, ''shādī bhī nākām nahīñ''
naukar aur namak aur mazhab... in tavīloñ se baaz aao
mardoñ kī aisī nekī par aa jaatā hai mujh ko taav
aurat ke hoñToñ par Thappa ab maqbūl-e-ām nahīñ
hafta bhar meñ ik din ''aisī laġhzish'' koī aib nahīñ
zāhir hai paapā mammy ko hāsil ''ilm-e-ġhaib'' nahīñ
kaalī rātoñ kī bātoñ se vāqif ''sub.h-o-shām'' nahīñ
jaatī huuñ, ghabrāte kyuuñ ho? kyā añdhiyārī ghor nahīñ?
do dil raazī ke baare meñ qaazī kā kuchh zor nahīñ
lo... ye das kā note... tumhārī ''ujrat'' hai in.aam nahīñ
khaT khaT kaun? sabiha! kaise? yunhi, koi kaam nahin
pichhli raat bhyanak garage kya kuchh ho anjam nahin
mera zimma main bhugtungi tum par kuchh ilzam nahin
hum hain us aKHlaq ke pairaw, hum hain us tahzib ke log
jis mein iffat ek mafruza ismat jis mein 'zehni rog
jazbon par pahre biThlana kya sauda-e-KHam nahin?
do bachchon ke bap to kya hai? dil ka ho insan jawan
tum bhi aise ban jao na jaise manjhle bhai jaan
sali aur salaj par laTTu, biwi se hammam nahin
un se wo tahzib se unchi, chhoTe bhai se waqti chah
shauhar aae na aae lekin dewar ki takti hain rah
KHwahish ki takmil bhi jari, shadi bhi nakaam nahin
naukar aur namak aur mazhab in tawilon se baz aao
mardon ki aisi neki par aa jata hai mujh ko taw
aurat ke honTon par Thappa ab maqbul-e-am nahin
hafta bhar mein ek din aisi laghzish koi aib nahin
zahir hai papa mammy ko hasil ilm-e-ghaib nahin
kali raaton ki baaton se waqif subh-o-sham nahin
jati hun, ghabraate kyun ho? kya andhiyari ghor nahin?
do dil raazi ke bare mein qazi ka kuchh zor nahin
lo ye das ka note tumhaari ujrat hai inam nahin
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 68)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.