kosa dudh
to ye duudh kosā hai!
ye duudh hai aur kosā hai
jis se badan kī naseñ uuñgh jaatī haiñ
jis se mire dil kī bā-qā.edā dhaḌkanoñ meñ
izāfe kī sūrat nahīñ
ye vahī duudh hai jis ko farhād kī garmi-e-shauq ne
bīstoñ kī siyah choTiyoñ se utārā
tū is ke lahū kī harārat kā juuyā huā
phir bhī kosā rahā
ye vahī duudh hai
chāñdnī ban ke jo garmiyoñ ke kisī maah kī chaudhvīñ raat ko
āsmāñ par zamīñ par diloñ meñ nigāhoñ meñ
bahtā hai lekin
kisī ke laboñ ko jalātā nahīñ hai
ye sūraj kā saaya hai laavā nahīñ hai!
tum apne piyāle ko bhaTTī meñ rakh do!
ki ye duudh ubaltā rahe
ye pyāla bhī Dhal jaa.e
ye duudh jal jaa.e
aur is tarah mushk-e-nāfā bane
jis kī ḳhushbū kī tāqat na laa.e koī shaḳhs bhī
jis kī ḳhushbū se har maġhz se ḳhuun bahne lage!
to ye dudh kosa hai!
ye dudh hai aur kosa hai
jis se badan ki nasen ungh jati hain
jis se mere dil ki ba-qaeda dhaDkanon mein
izafe ki surat nahin
ye wahi dudh hai jis ko farhad ki garmi-e-shauq ne
biston ki siyah choTiyon se utara
tu is ke lahu ki hararat ka juya hua
phir bhi kosa raha
ye wahi dudh hai
chandni ban ke jo garmiyon ke kisi mah ki chaudhwin raat ko
aasman par zamin par dilon mein nigahon mein
bahta hai lekin
kisi ke labon ko jalata nahin hai
ye suraj ka saya hai lawa nahin hai!
tum apne piyale ko bhaTTi mein rakh do!
ki ye dudh ubalta rahe
ye pyala bhi Dhal jae
ye dudh jal jae
aur is tarah mushk-e-nafa bane
jis ki KHushbu ki taqat na lae koi shaKHs bhi
jis ki KHushbu se har maghz se KHun bahne lage!
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 71)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.