bakira
....aur chādar par shab-bāshī kā zinda lahū thā
us ne uTh ke añgḌā.ī lī
ā.īne meñ chehra dekhā
sarshārī meñ itmīnān kī ThanDī saañs lī
us kī thakī huī āñkhoñ meñ
dīvānī maġhrūr chamak thī
fat.h ke nashshe se palkeñ bojhal thiiñ
us ne sochā hide-park meñ
jo laḌkī ik jāsūsī novel meñ Duubī
use milī thī
vo to jaise fāḳhta niklī
us ne apnī sex appeal kā kampā maar ke
raam kiyā thā
us kī lachchhe-dār anokhī bāteñ sun kar
us ke saath chalī aa.ī thī
sub.h-savere
chaa.e banā kar
bosa de kar
chalī ga.ī thī
vo to sach-much bākara niklī
(varna sola sattarah baras kī laḌkī harrafa hotī hai)
us ne sochā
us ne shab bhar
band kalī par
ik zañbūrī raqs kiyā thā
aur chādar par itnā lahū thā
jaise jañg-e-azīm
isī bistar par laḌī ga.ī thī
us ne apnī moñchhoñ ke guchchhe meñ
apnī hañsī dabā.ī
ek ḳhayāl se
āñkhoñ meñ saaya lahrāyā
sar chakrāyā....
ye to us kī mahvārī kā murda lahū thā
jo chādar par phail gayā thā
aur chadar par shab-bashi ka zinda lahu tha
us ne uTh ke angDai li
aaine mein chehra dekha
sarshaari mein itminan ki ThanDi sans li
us ki thaki hui aankhon mein
diwani maghrur chamak thi
fath ke nashshe se palken bojhal thin
us ne socha hide-park mein
jo laDki ek jasusi nowel mein Dubi
use mili thi
wo to jaise faKHta nikli
us ne apni sex appeal ka kampa mar ke
ram kiya tha
us ki lachchhe-dar anokhi baaten sun kar
us ke sath chali aai thi
subh-sawere
chae bana kar
bosa de kar
chali gai thi
wo to sach-much bakara nikli
(warna sola sattarah baras ki laDki harrafa hoti hai)
us ne socha
us ne shab bhar
band kali par
ek zanburi raqs kiya tha
aur chadar par itna lahu tha
jaise jang-e-azim
isi bistar par laDi gai thi
us ne apni monchhon ke guchchhe mein
apni hansi dabai
ek KHayal se
aankhon mein saya lahraya
sar chakraya
ye to us ki mahwari ka murda lahu tha
jo chadar par phail gaya tha
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 53)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.