an-kahi
tujh ko ma.alūm nahīñ tujh ko bhalā kyā ma.alūm
tere chehre ke ye saada se achhūte se nuqūsh
merī taḳh.īl ko kyā rañg atā karte haiñ
terī zulfeñ tirī āñkheñ tire aariz tire hoñT
kaisī an-jānī sī ma.asūm ḳhatā karte haiñ
tere qāmat kā lachaktā huā maġhrūr tanāv
jaise phūloñ se ladī shāḳh havā meñ lahrā.e
vo chhalakte hue sāġhar sī javānī vo badan
jaise sho.ala sā nigāhoñ meñ lapak kar rah jaa.e
ḳhalvat-e-bazm ho yā jalvat-e-tanhā.ī ho
terā paikar mirī nazroñ meñ ubhar aatā hai
koī saa.at ho koī fikr ho koī māhaul
koī saa.at ho koī fikr ho koī māhaul
mujh ko har samt tirā husn nazar aatā hai
chalte chalte jo qadam aap ThiThak jaate haiñ
sochtā huuñ ki kahīñ tū ne pukārā to nahīñ
gum sī ho jaatī haiñ nazreñ to ḳhayāl aatā hai
is meñ pinhāñ tirī āñkhoñ kā ishāra to nahīñ
dhuup meñ saaya bhī hotā hai gurezāñ jis dam
terī zulfeñ mire shānoñ pe bikhar jaatī haiñ
jhuk ke jab sar kisī patthar pe Tikā detā huuñ
terī bāheñ mirī gardan meñ utar aatī haiñ
aañkh lagtī hai to dil ko ye gumāñ hotā hai
sar-e-bālīñ koī baiThā hai baḌe pyaar ke saath
mere bikhre hue uljhe hue bāloñ meñ koī
uñgliyāñ phertā jaatā hai baḌe pyaar ke saath
jaane kyuuñ tujh se dil-e-zār ko itnī hai lagan
kaisī kaisī na tamannāoñ kī tamhīd hai tū
din meñ tū ik shab-e-mahtāb hai merī ḳhātir
sard rātoñ meñ mire vāste ḳhurshīd hai tū
apnī dīvāngi-e-shauq pe hañstā bhī huuñ maiñ
aur phir apne ḳhayālāt meñ kho jaatā huuñ
tujh ko apnāne kī himmat hai na kho dene kā zarf
kabhī hañste kabhī rote hue so jaatā huuñ maiñ
kis ko ma.alūm mire ḳhvāboñ kī ta.abīr hai kyā
kaun jaane ki mire ġham kī haqīqat kyā hai
maiñ samajh bhī luuñ agar is ko mohabbat kā junūñ
tujh ko is ishq-e-junūñ-ḳhez se nisbat kyā hai
tujh ko ma.alūm nahīñ tujh ko na hogā ma.alūm
tere chehre ke ye saada se achhūte se nuqūsh
merī taḳh.īl ko kyā rañg atā karte haiñ
terī zulfeñ terī āñkheñ tire aariz tire hoñT
kaisī an-jānī sī ma.asūm ḳhatā karte haiñ
tujh ko malum nahin tujh ko bhala kya malum
tere chehre ke ye sada se achhute se nuqush
meri taKHil ko kya rang ata karte hain
teri zulfen teri aankhen tere aariz tere honT
kaisi an-jaani si masum KHata karte hain
tere qamat ka lachakta hua maghrur tanaw
jaise phulon se ladi shaKH hawa mein lahrae
wo chhalakte hue saghar si jawani wo badan
jaise shoala sa nigahon mein lapak kar rah jae
KHalwat-e-bazm ho ya jalwat-e-tanhai ho
tera paikar meri nazron mein ubhar aata hai
koi saat ho koi fikr ho koi mahaul
koi saat ho koi fikr ho koi mahaul
mujh ko har samt tera husn nazar aata hai
chalte chalte jo qadam aap ThiThak jate hain
sochta hun ki kahin tu ne pukara to nahin
gum si ho jati hain nazren to KHayal aata hai
is mein pinhan teri aankhon ka ishaara to nahin
dhup mein saya bhi hota hai gurezan jis dam
teri zulfen mere shanon pe bikhar jati hain
jhuk ke jab sar kisi patthar pe Tika deta hun
teri bahen meri gardan mein utar aati hain
aankh lagti hai to dil ko ye guman hota hai
sar-e-baalin koi baiTha hai baDe pyar ke sath
mere bikhre hue uljhe hue baalon mein koi
ungliyan pherta jata hai baDe pyar ke sath
jaane kyun tujh se dil-e-zar ko itni hai lagan
kaisi kaisi na tamannaon ki tamhid hai tu
din mein tu ek shab-e-mahtab hai meri KHatir
sard raaton mein mere waste KHurshid hai tu
apni diwangi-e-shauq pe hansta bhi hun main
aur phir apne KHayalat mein kho jata hun
tujh ko apnane ki himmat hai na kho dene ka zarf
kabhi hanste kabhi rote hue so jata hun main
kis ko malum mere KHwabon ki tabir hai kya
kaun jaane ki mere gham ki haqiqat kya hai
main samajh bhi lun agar is ko mohabbat ka junun
tujh ko is ishq-e-junun-KHez se nisbat kya hai
tujh ko malum nahin tujh ko na hoga malum
tere chehre ke ye sada se achhute se nuqush
meri taKHil ko kya rang ata karte hain
teri zulfen teri aankhen tere aariz tere honT
kaisi an-jaani si masum KHata karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.