Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitaben

Zafar Kamali

kitaben

Zafar Kamali

MORE BYZafar Kamali

    samajhtā hai ise saarā zamāna

    kitābeñ ilm-o-hikmat ḳhazāna

    diloñ nuur haiñ achchhī kitābeñ

    charāġh-e-tūr haiñ achchhī kitābeñ

    hamārī mūnis o ġham-ḳhvār haiñ ye

    jihād-e-ilm lalkār haiñ ye

    kitābeñ kyā haiñ rūhānī ḳhudā haiñ

    sakūñ dil davāoñ davā haiñ

    hamārī kyuuñ na ho manzil kitābeñ

    rasūloñ par huiiñ nāzil kitābeñ

    kitāboñ se hai jis āshnā.ī

    baḌī daulat jahāñ meñ us ne paa.ī

    kitābeñ kāmyābī haiñ ziina

    rakheñ ābād ye dil madīna

    kitāboñ rifāqat bhī ajab hai

    ta.alluq toḌnā in se ġhazab hai

    sadāqat yahī rasta dikhā.eñ

    buroñ ko bhī yahī achchhā banā.eñ

    sikhātī haiñ ye jiine tarīqa

    batātī haiñ hameñ kyā hai salīqa

    kisī ne muñh kitāboñ se jo pherā

    yaqīnan us ko zillat ne hai gherā

    kitāboñ se agar ḳhālī makāñ hai

    vo hai bhūtoñ maskan ghar kahāñ hai

    kitāboñ se halāvat guftugū meñ

    sharāfat asar baaqī lahū meñ

    kitāboñ se jahāñ meñ naam zinda

    hamārī sub.h zinda shaam zinda

    kitāboñ se sadā rishta baḌhāo

    isī meñ zindagī apnī lagāo

    samajhta hai ise sara zamana

    kitaben ilm-o-hikmat ka KHazana

    dilon ka nur hain achchhi kitaben

    charagh-e-tur hain achchhi kitaben

    hamari munis o gham-KHwar hain ye

    jihad-e-ilm ki lalkar hain ye

    kitaben kya hain ruhani KHuda hain

    sakun dil ka dawaon ki dawa hain

    hamari kyun na ho manzil kitaben

    rasulon par huin nazil kitaben

    kitabon se hai jis ki aashnai

    baDi daulat jahan mein us ne pai

    kitaben kaamyabi ka hain zina

    rakhen aabaad ye dil ka madina

    kitabon ki rifaqat bhi ajab hai

    talluq toDna in se ghazab hai

    sadaqat ka yahi rasta dikhaen

    buron ko bhi yahi achchha banaen

    sikhati hain ye jine ka tariqa

    batati hain hamein kya hai saliqa

    kisi ne munh kitabon se jo phera

    yaqinan us ko zillat ne hai ghera

    kitabon se agar KHali makan hai

    wo hai bhuton ka maskan ghar kahan hai

    kitabon se halawat guftugu mein

    sharafat ka asar baqi lahu mein

    kitabon se jahan mein nam zinda

    hamari subh zinda sham zinda

    kitabon se sada rishta baDhao

    isi mein zindagi apni lagao

    Source :
    • Book : Bachchon Ka Bagh (Pg. 21)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now