kawwa
aage pīchhe daa.eñ baa.eñ
kaa.eñ kaa.eñ kaa.eñ kaa.eñ
sub.h-savere nuur ke taḌke
muñh dho-dhā kar nanhe laḌke
baiThte haiñ jab khānā khāne
kavve lagte haiñ mañDlāne
tauba tauba DhiiT haiñ kitne
kavve haiñ yā kaale fitne
laakh hañkāo laakh uḌaao
muñh se cīḳho haath hilāo
ghūro ghuḌko yā dhutkāro
koī chiiz uThā kar maaro
kavve baaz nahīñ aate haiñ
jaate haiñ phir aa jaate haiñ
har dam hai khāne kī aadat
shor machāne kī hai aadat
bachchoñ se bilkul nahīñ Dartā
un kī kuchh parvā nahīñ kartā
dekhā nanhā bholā-bhālā
chhīn liyā hāthoñ se nivālā
koī ishāra ho yā aahaT
taaḌ ke uḌ jaatā hai jhaT-paT
ab karne do kaa.eñ kaa.eñ
ham kyuuñ apnī jaan khapā.eñ
aage pichhe daen baen
kaen kaen kaen kaen
subh-sawere nur ke taDke
munh dho-dha kar nanhe laDke
baiThte hain jab khana khane
kawwe lagte hain manDlane
tauba tauba DhiT hain kitne
kawwe hain ya kale fitne
lakh hankao lakh uDao
munh se ciKHo hath hilao
ghuro ghuDko ya dhutkaro
koi chiz uTha kar maro
kawwe baz nahin aate hain
jate hain phir aa jate hain
har dam hai khane ki aadat
shor machane ki hai aadat
bachchon se bilkul nahin Darta
un ki kuchh parwa nahin karta
dekha nanha bhola-bhaala
chhin liya hathon se niwala
koi ishaara ho ya aahaT
taD ke uD jata hai jhaT-paT
ab karne do kaen kaen
hum kyun apni jaan khapaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.