aata hai yaad mujhko
aatā hai yaad mujh ko schōl kā zamānā
vo dostoñ kī sohbat vo qahqahe lagānā
anvar aziiz raajū munnū ke saath mil kar
vo tāliyāñ bajānā bandar ko muñh chiḌānā
ro ro ke māñgnā vo ammī se roz paise
jā jā ke hoTaloñ meñ barfī malā.ī khānā
paḌhne ko jab bhī ghar par kahte the mere bhaa.ī
kartā thā dard-e-sar kā akasr hī maiñ bahānā
miltī nahīñ thī fursat din raat khelne se
yuuñ rā.egāñ huā thā paḌhne kā vo zamānā
kaise kahūñ kisī se ab kyā hai haal merā
khāne ko mushkiloñ se miltā hai ek daanā
har ik qadam pe lagtī hai Thokaroñ pe Thokar
jā kar rahūñ kahāñ par miltā nahīñ Thikānā
afsar bane haiñ is dam mere hī ham-jamā.at
un se hayā ke maare paḌtā hai muñh chhupānā
bachcho na tum samajhnā hargiz ise kahānī
ye hai tumhāre haq meñ ibrat kā tāziyāna
hogā bhalā tumhārā sun lo 'zafar' kī bāteñ
khelo zarūr lekin paḌhne meñ dil lagānā
aata hai yaad mujh ko school ka zamana
wo doston ki sohbat wo qahqahe lagana
anwar aziz raju munnu ke sath mil kar
wo taliyan bajaana bandar ko munh chiDana
ro ro ke mangna wo ammi se roz paise
ja ja ke hoTalon mein barfi malai khana
paDhne ko jab bhi ghar par kahte the mere bhai
karta tha dard-e-sar ka akasr hi main bahana
milti nahin thi fursat din raat khelne se
yun raegan hua tha paDhne ka wo zamana
kaise kahun kisi se ab kya hai haal mera
khane ko mushkilon se milta hai ek dana
har ek qadam pe lagti hai Thokaron pe Thokar
ja kar rahun kahan par milta nahin Thikana
afsar bane hain is dam mere hi ham-jamaat
un se haya ke mare paDta hai munh chhupana
bachcho na tum samajhna hargiz ise kahani
ye hai tumhaare haq mein ibrat ka taziyana
hoga bhala tumhaara sun lo 'zafar' ki baaten
khelo zarur lekin paDhne mein dil lagana
- Book : Bachchon Ka Bagh (Pg. 40)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.