aaina dekhna
aa.ina dekhne kā shauq hai vo
is kā har shaḳhs mubtalā dekhā
sāmne aa.ine ke ban-Than kar
ham ne ahbāb ko khaḌā dekhā
koī mūchhoñ pe taao detā hai
koī DāḌhī sañvārtā dekhā
koī kapḌoñ ko saaf kartā hai
koī muñh dekhtā huā dekhā
shāna hai yā barash hai yā rūmāl
haath ḳhālī na ek kā dekhā
shauq hai aam jāma-zebī kā
jis ko dekhā hai ḳhud-numā dekhā
dekhā sab ne hī apnā jism-o-libās
lek ye tarfa mājrā dekhā
dekhne se kabhī nahīñ serī
rose go chehra bārhā dekhā
apnī sūrat ke sab haiñ shaidā.ī
sab ko apnā farefta dekhā
sūrat-e-zāhirī magar ai dost
jis ne dekhī hai us ne kyā dekhā
dekhne vaalā us ko kahte haiñ
jis ne bātin bhī barmalā dekhā
dil kā ā.īna paas hai sab ke
saaf aisā kam aa.inā dekhā
mujh se pūchho to vo hai nek-nasīb
jis ne ye aa.ina zarā dekhā
sūrat-e-hāl hai ḳhabar paa.ī
aur apnā burā bhalā dekhā
nutq o atvār diin aur īmāñ
sab ko jaise haiñ barmalā dekhā
aur phir le ke sa.ī kā rūmāl
naqs jo jo ki jā-ba-jā dekhā
us kī is tarah se safā.ī kī
ki na āñkhoñ ne phir zarā dekhā
ye hai ā.īna dekhnā ai dost
dekhā is tarah to bajā dekhā
aaina dekhne ka shauq hai wo
is ka har shaKHs mubtala dekha
samne aaine ke ban-Than kar
hum ne ahbab ko khaDa dekha
koi muchhon pe tao deta hai
koi DaDhi sanwarta dekha
koi kapDon ko saf karta hai
koi munh dekhta hua dekha
shana hai ya barash hai ya rumal
hath KHali na ek ka dekha
shauq hai aam jama-zebi ka
jis ko dekha hai KHud-numa dekha
dekha sab ne hi apna jism-o-libas
lek ye tarfa majra dekha
dekhne se kabhi nahin seri
rose go chehra barha dekha
apni surat ke sab hain shaidai
sab ko apna farefta dekha
surat-e-zahiri magar ai dost
jis ne dekhi hai us ne kya dekha
dekhne wala us ko kahte hain
jis ne baatin bhi barmala dekha
dil ka aaina pas hai sab ke
saf aisa kam aaina dekha
mujh se puchho to wo hai nek-nasib
jis ne ye aaina zara dekha
surat-e-haal hai KHabar pai
aur apna bura bhala dekha
nutq o atwar din aur iman
sab ko jaise hain barmala dekha
aur phir le ke sai ka rumal
naqs jo jo ki ja-ba-ja dekha
us ki is tarah se safai ki
ki na aankhon ne phir zara dekha
ye hai aaina dekhna ai dost
dekha is tarah to baja dekha
- Book : Jadeed Shora.e Urdu (Pg. 183)
- Author : Dr. Abdul Vaheed
- Publication : Firoz sons Printers Publishers Book sales
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.