Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho raha hai zikr paiham aam ka

Shaheen Iqbal Asar

ho raha hai zikr paiham aam ka

Shaheen Iqbal Asar

MORE BYShaheen Iqbal Asar

    ho rahā hai zikr paiham aam

    aa rahā hai phir se mausam aam

    nazm likh kar us ke istiqbāl meñ

    kar rahā huuñ ḳhair-maqdam aam

    un se ham rakkheñ ziyāda rabt kyuuñ

    shauq jo rakhte haiñ kam kam aam

    tab kahīñ aatā hai mere dam meñ dam

    naam jab letā huuñ hamdam aam

    shauq se paḌhte haiñ us ko ḳhās-o-ām

    jab qasīda likhte haiñ ham aam

    kyā kahūñ asmār fihrist meñ

    naam hai sab se muqaddam aam

    ik faqat maiñ nahīñ shaidā 'asar'

    shaidā hai aalam aalam aam

    ho raha hai zikr paiham aam ka

    aa raha hai phir se mausam aam ka

    nazm likh kar us ke istiqbaal mein

    kar raha hun KHair-maqdam aam ka

    un se hum rakkhen ziyaada rabt kyun

    shauq jo rakhte hain kam kam aam ka

    tab kahin aata hai mere dam mein dam

    nam jab leta hun hamdam aam ka

    shauq se paDhte hain us ko KHas-o-am

    jab qasida likhte hain hum aam ka

    kya kahun asmar ki fihrist mein

    nam hai sab se muqaddam aam ka

    ek faqat main hi nahin shaida 'asar'

    shaida hai aalam ka aalam aam ka

    Tagged Under

    Aam
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now