dar-madh-am
shāh-e-avadh se phone pe kal maiñ ne baat kī
ism-e-girāmī shaah kā abdussalām hai
pūchhā ki lucknow meñ haiñ maiñ ne kahā ki haañ
bole ki ye batā.iye kai din qayām hai
maiñ ne kahā ki aaj hī aayā huuñ yā-aḳhī
yuuñ to ḳhulūs-e-shāh meñ kis ko kalām hai
lekin ye aane vaale se jaane kā pūchhnā
kyā is meñ koī raaz hai yā kuchh payām hai
bole ki rāz-vāz to kuchh bhī nahīñ hai bas
sunday kī shaam pāñch baje izn-e-ām hai
maiñ tum ko lene vaqt pe pahuñchūñgā aur tum
milnā saḌak pe jo ki tumhārā maqām hai
maiñ ne kahā ki maiñ bhii, to bole ki haañ zarūr
ye kyuuñ samajh rahe ho ki izn-e-ta.ām hai
hotā agar ta.aam tumheñ kaun pūchhtā
is fasl meñ bas aam hī guThlī ke daam hai
tum ne takallufan bhī jo inkār kar diyā
ġhālib kā vo javāb ba-zehn-e-avām hai
al-qissa un ke saath chalā aayā paḳh banā
ḳhachchar ke ās-pās hī jis kā maqām hai
paḳh se agar kisī ko koī buġhz ho to ho
ġhālib ke is gad.he se to behtar ye naam hai
dekhā yahāñ jo aa ke to sab bhāñt-bhāñt ke
aamoñ kā chaar samt baḌā izhdihām hai
maiñ bhī sharīk ho gayā bos-o-kanār meñ
har aam khāne vaale kā ye tarz-e-ām hai
chausā dasharī ho ki safeda ho ek ek
chiknā rasīlā shīrīñ-dahan zard-fām hai
har samt guThliyoñ ke vo ambār haa.e haa.e
dil chhilke chhilke ho gayā ibrat-maqām hai
dil ne kahā miyāñ ye kahāñ le ke aa ga.e
dāvat nahīñ ye aam kī ye qatl-e-ām hai
maiñ ne DapaT ke dil se kahā chup ḳhamosh rah
rakh kaam apne kaam se terā jo kaam hai
tū bhī to ek guThlī-e-be-chhilkā hī to hai
aur vo bhī be-miThās baḌā terā naam hai
tujh se to baḌh ke aam kī guThlī hai kuchh sunā
miTTī meñ daab do to phir ik puurā aam hai
har lahza piitā rahtā hai tū ghūñT ḳhuun ke
aur aam aam hī nahīñ bharpūr jaam hai
dar-dast jām-e-ām hai aur to hai dar-baġhal
terī to ek buuñd bhī mujh par harām hai
dil ne kahā ki ḳhair tujhe kyā javāb duuñ
jab ash.hab-e-qalam hī tirā be-lagām hai
merā to ḳhuuñ harām hai tujh par halāl-ḳhor
terī ragoñ meñ kis kā lahū tez-gām hai
aatī nahīñ hai mujh ko ye bahr-ul-fasāhatī
banda abul-kalām na abdul-kalām hai
nā vaqt falsafe kā paḌhāne lagā sabaq
sab mahv-e-ām aur tū mahv-e-kalām hai
dil ke balīġh tanz se meñ saTpaTā gayā
shāyad ki ye amal bhī himāqat ke naam hai
ab jo nazar uThā ke udhar se idhar tilak
dekhā to ām-vām kā qissa tamām hai
shah-e-awadh se phone pe kal main ne baat ki
ism-e-girami shah ka abdussalam hai
puchha ki lucknow mein hain main ne kaha ki han
bole ki ye bataiye kai din qayam hai
main ne kaha ki aaj hi aaya hun ya-aKHi
yun to KHulus-e-shah mein kis ko kalam hai
lekin ye aane wale se jaane ka puchhna
kya is mein koi raaz hai ya kuchh payam hai
bole ki raaz-waz to kuchh bhi nahin hai bas
sunday ki sham panch baje izn-e-am hai
main tum ko lene waqt pe pahunchunga aur tum
milna saDak pe jo ki tumhaara maqam hai
main ne kaha ki main bhi, to bole ki han zarur
ye kyun samajh rahe ho ki izn-e-taam hai
hota agar taam tumhein kaun puchhta
is fasl mein bas aam hi guThli ke dam hai
tum ne takallufan bhi jo inkar kar diya
ghaalib ka wo jawab ba-zehn-e-awam hai
al-qissa un ke sath chala aaya paKH bana
KHachchar ke aas-pas hi jis ka maqam hai
paKH se agar kisi ko koi bughz ho to ho
ghaalib ke is gadhe se to behtar ye nam hai
dekha yahan jo aa ke to sab bhant-bhant ke
aamon ka chaar samt baDa izhdiham hai
main bhi sharik ho gaya bos-o-kanar mein
har aam khane wale ka ye tarz-e-am hai
chausa dashari ho ki safeda ho ek ek
chikna rasila shirin-dahan zard-fam hai
har samt guThliyon ke wo ambar hae hae
dil chhilke chhilke ho gaya ibrat-maqam hai
dil ne kaha miyan ye kahan le ke aa gae
dawat nahin ye aam ki ye qatl-e-am hai
main ne DapaT ke dil se kaha chup KHamosh rah
rakh kaam apne kaam se tera jo kaam hai
tu bhi to ek guThli-e-be-chhilka hi to hai
aur wo bhi be-miThas baDa tera nam hai
tujh se to baDh ke aam ki guThli hai kuchh suna
miTTi mein dab do to phir ek pura aam hai
har lahza pita rahta hai tu ghunT KHun ke
aur aam aam hi nahin bharpur jam hai
dar-dast jam-e-am hai aur to hai dar-baghal
teri to ek bund bhi mujh par haram hai
dil ne kaha ki KHair tujhe kya jawab dun
jab ashhab-e-qalam hi tera be-lagam hai
mera to KHun haram hai tujh par halal-KHor
teri ragon mein kis ka lahu tez-gam hai
aati nahin hai mujh ko ye bahr-ul-fasahati
banda abul-kalam na abdul-kalam hai
na waqt falsafe ka paDhane laga sabaq
sab mahw-e-am aur tu mahw-e-kalam hai
dil ke baligh tanz se mein saTpaTa gaya
shayad ki ye amal bhi himaqat ke nam hai
ab jo nazar uTha ke udhar se idhar tilak
dekha to aam-wam ka qissa tamam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.