ham ek hii baap kii aulaad hai.n
ham haath nahii.n milaa.e.nge
ye vaqt dilo.n ko milaane kaa hai
ham ne tanhaa.ii o.Dh lii
aur insaaniyat kii ikaa.ii ko sirhaanaa banaa liyaa
ham safar nahii.n kare.nge
jab tak hamaare sanduuq
KHuubsuurat tahaa.if se tahii hai.n
haajat se ziyaada KHariide.nge na beche.nge
ki dukaane.n aur baazaar
faraavaanii se bhare rahe.n
baGair zaruurat gharo.n se nahii.n nikle.nge
ki shaahraahe.n maidaan aur baaG jald aabaad huu.n
agar zaruurii hu.aa to
kisii KHaamosh kone me.n mare.nge
ki zamiin hamaare baad bhii giito.n se guu.njtii rahe

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.