shash-jihat nuh falak aaenge nazar do-baTa-tin
shash-jihat nuh falak ā.eñge nazar do-baTā-tīn
chhe-baTā-nau ke barābar hai agar do-baTā-tīn
do khilaune jo kabhī ham ne tipā.ī pe dhare
aa ga.e saaf muhandis ko nazar do-baTā-tīn
tālib-e-ḳhair na hoñge kabhī insān se ham
naam us kā hai bashar us meñ hai shar do-baTā-tīn
munhasir quvvat-e-bāzū pe hai daulat-mandī
dekh lo zor meñ maujūd hai zar do-baTā-tīn
malak-ul-maut se duniyā meñ hirāsāñ nahīñ kaun
jis ko kahte haiñ niDar us meñ hai Dar do-baTā-tīn
bīsvīñ raat mahīne kī jab aa jaatī hai
ġham meñ rah jaatā hai ghul ghul ke qamar do-baTā-tīn
zālimo ḳhauf karo aah ko samjho na haqīr
lafz-e-allāh meñ hai is kā asar do-baTā-tīn
khoTī manzil kiye detī hai tirī yaad nadīm
rāh-rau kā abhī baaqī hai safar do-baTā-tīn
do-baTā-tīn kī rakkhī hai jo ai 'josh' radīf
she'r bhī nikle haiñ maqbūl-e-nazar do-baTā-tīn
shash-jihat nuh falak aaenge nazar do-baTa-tin
chhe-baTa-nau ke barabar hai agar do-baTa-tin
do khilaune jo kabhi hum ne tipai pe dhare
aa gae saf muhandis ko nazar do-baTa-tin
talib-e-KHair na honge kabhi insan se hum
nam us ka hai bashar us mein hai shar do-baTa-tin
munhasir quwwat-e-bazu pe hai daulat-mandi
dekh lo zor mein maujud hai zar do-baTa-tin
malak-ul-maut se duniya mein hirasan nahin kaun
jis ko kahte hain niDar us mein hai Dar do-baTa-tin
biswin raat mahine ki jab aa jati hai
gham mein rah jata hai ghul ghul ke qamar do-baTa-tin
zalimo KHauf karo aah ko samjho na haqir
lafz-e-allah mein hai is ka asar do-baTa-tin
khoTi manzil kiye deti hai teri yaad nadim
rah-rau ka abhi baqi hai safar do-baTa-tin
do-baTa-tin ki rakkhi hai jo ai 'josh' radif
she'r bhi nikle hain maqbul-e-nazar do-baTa-tin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.