sab dalalon mein tawaif ka dalal achchha hai
sab dalalon mein tawaif ka dalal achchha hai
Wahid Ansari Burhanpur
MORE BYWahid Ansari Burhanpur
sab dalāloñ meñ tavā.if kā dalāl achchhā hai
jis tarah kā bhī kisī meñ ho kamāl achchhā hai
dekh kar shakl tabīboñ kī jab aatī hai hañsī
vo samajhte haiñ ki bīmār kā haal achchhā hai
jeb ḳhālī ho to phir shahd lage zahr hameñ
jī meñ kahte haiñ ki muft aa.e to maal achchhā hai
ḳhush ho ai dil ke milegī tujhe daulat ġham kī
ik barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
koī ahmaq hī na mānegā agar maiñ ye kahūñ
sāġhar-e-jam se mirā jām-e-sifāl achchhā hai
kah do afyūn ke har smuggler se 'vāhid'
kaam achchhā hai ki vo jis kā ma.aal achchhā hai
sohbat-e-hūr mile yā na mile ham ko magar
dil ko bahlāne ko 'ġhālib' ye ḳhayāl achchhā hai
sab dalalon mein tawaif ka dalal achchha hai
jis tarah ka bhi kisi mein ho kamal achchha hai
dekh kar shakl tabibon ki jab aati hai hansi
wo samajhte hain ki bimar ka haal achchha hai
jeb KHali ho to phir shahd lage zahr hamein
ji mein kahte hain ki muft aae to mal achchha hai
KHush ho ai dil ke milegi tujhe daulat gham ki
ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
koi ahmaq hi na manega agar main ye kahun
saghar-e-jam se mera jam-e-sifal achchha hai
kah do afyun ke har smuggler se 'wahid'
kaam achchha hai ki wo jis ka maal achchha hai
sohbat-e-hur mile ya na mile hum ko magar
dil ko bahlane ko 'ghaalib' ye KHayal achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.