Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na bistar na bartan waghaira waghaira

betakalluf shaajapuri

na bistar na bartan waghaira waghaira

betakalluf shaajapuri

MORE BYbetakalluf shaajapuri

    na bistar na bartan vaġhaira vaġhaira

    na chhat hai na āñgan vaġhaira vaġhaira

    mire ghar ke bachchoñ ta.adād kyā

    ye do chaar darjan vaġhaira vaġhaira

    har ustād shā.ir ke ghar meñ mileñge

    ye har day ye chūran vaġhaira vaġhaira

    likhegā bhī kyā mubtadī koī shā.ir

    ye barq o nasheman vaġhaira vaġhaira

    qavāfī nasheman se pūchhe to bole

    nasheman vasheman vaġhaira vaġhaira

    kabhī mujh pe barsātī hai ghar malika

    ye chimTā ye belan vaġhaira vaġhaira

    haiñ munne ammā pakkī sahelī

    shakūran ġhafūran vaġhaira vaġhaira

    har ik vaqt nā-vaqt uThte haiñ kambaḳht

    ye guDDan ye chuTTan vaġhaira vaġhaira

    tire 'be-takalluf' ko sab jāntī haiñ

    aḌosan paḌosan vaġhaira vaġhaira

    na bistar na bartan waghaira waghaira

    na chhat hai na aangan waghaira waghaira

    mere ghar ke bachchon ki tadad hi kya

    ye do chaar darjan waghaira waghaira

    har ustad shair ke ghar mein milenge

    ye har day ye churan waghaira waghaira

    likhega bhi kya mubtadi koi shair

    ye barq o nasheman waghaira waghaira

    qawafi nasheman se puchhe to bole

    nasheman washeman waghaira waghaira

    kabhi mujh pe barsati hai ghar ki malika

    ye chimTa ye belan waghaira waghaira

    hain munne ki amma ki pakki saheli

    shakuran ghafuran waghaira waghaira

    har ek waqt na-waqt uThte hain kambaKHt

    ye guDDan ye chuTTan waghaira waghaira

    tere 'be-takalluf' ko sab jaanti hain

    aDosan paDosan waghaira waghaira

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now