Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main shikar hun kisi aur ka mujhe marta koi aur hai

Zia-ul-Haq Qasmi

main shikar hun kisi aur ka mujhe marta koi aur hai

Zia-ul-Haq Qasmi

MORE BYZia-ul-Haq Qasmi

    maiñ shikār huuñ kisī aur mujhe mārtā koī aur hai

    mujhe jis ne bakrī banā diyā vo to bheḌiyā koī aur hai

    ka.ī sardiyāñ bhī guzar ga.iiñ maiñ to us ke kaam na aa sakā

    maiñ lihāf huuñ kisī aur mujhe oḌhtā koī aur hai

    mujhe chakkaroñ meñ phañsā diyā mujhe ishq ne to rulā diyā

    maiñ to maañg thī kisī aur mujhe māñgtā koī aur hai

    maiñ Tañgā rahā thā muñDer par ki kabhī to aa.egā sehn meñ

    maiñ thā muntazir kisī aur mujhe ghūrtā koī aur hai

    sar-e-bazm mujh ko uThā diyā mujhe maar maar liTā diyā

    mujhe mārtā koī aur hai vale hāñptā koī aur hai

    mujhe apnī biivī pe faḳhr hai mujhe apne saale pe naaz hai

    nahīñ dosh donoñ is meñ kuchh mujhe DāñTtā koī aur hai

    maiñ to pheñT pheñT ke phaT gayā maiñ phaTā huā vahī taash huuñ

    mujhe kheltā koī aur hai mujhe pheñTtā koī aur hai

    mire rob meñ to vo aa gayā mire sāmne to vo jhuk gayā

    mujhe laat khā ke huī ḳhabar mujhe pīTtā koī aur hai

    hai ajab nizām zakāt mire mulk meñ mire des meñ

    ise kāTtā koī aur hai ise bāñTtā koī aur hai

    jo garajte hoñ vo baraste hoñ kabhī aisā ham ne sunā nahīñ

    yahāñ bhūñktā koī aur hai yahāñ kāTtā koī aur hai

    ajab aadmī hai ye 'qāsmī' ise be-qusūr jāniye

    ye to Dākiyā hai janāb-e-man ise bhejtā koī aur hai

    main shikar hun kisi aur ka mujhe marta koi aur hai

    mujhe jis ne bakri bana diya wo to bheDiya koi aur hai

    kai sardiyan bhi guzar gain main to us ke kaam na aa saka

    main lihaf hun kisi aur ka mujhe oDhta koi aur hai

    mujhe chakkaron mein phansa diya mujhe ishq ne to rula diya

    main to mang thi kisi aur ki mujhe mangta koi aur hai

    main Tanga raha tha munDer par ki kabhi to aaega sehn mein

    main tha muntazir kisi aur ka mujhe ghurta koi aur hai

    sar-e-bazm mujh ko uTha diya mujhe mar mar liTa diya

    mujhe marta koi aur hai wale hanpta koi aur hai

    mujhe apni biwi pe faKHr hai mujhe apne sale pe naz hai

    nahin dosh donon ka is mein kuchh mujhe DanTta koi aur hai

    main to phenT phenT ke phaT gaya main phaTa hua wahi tash hun

    mujhe khelta koi aur hai mujhe phenTta koi aur hai

    mere rob mein to wo aa gaya mere samne to wo jhuk gaya

    mujhe lat kha ke hui KHabar mujhe piTta koi aur hai

    hai ajab nizam zakat ka mere mulk mein mere des mein

    ise kaTta koi aur hai ise banTta koi aur hai

    jo garajte hon wo baraste hon kabhi aisa hum ne suna nahin

    yahan bhunkta koi aur hai yahan kaTta koi aur hai

    ajab aadmi hai ye 'qasmi' ise be-qusur hi jaaniye

    ye to Dakiya hai janab-e-man ise bhejta koi aur hai

    RECITATIONS

    Zia-ul-Haq Qasmi

    Zia-ul-Haq Qasmi,

    Zia-ul-Haq Qasmi

    main shikar hun kisi aur ka mujhe marta koi aur hai Zia-ul-Haq Qasmi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now