lat uTTha hath uTTha juta uTha my dear
laat uTThā haath uTThā juutā uThā my dear
apne siine se magar mujh ko lagā my dear
ek cup chaa.e banā zahr milā my dear
sabr kā ghūñT na is tarah pilā my dear
is na.e daur meñ farsūda rivāyat pe na jā
shādī se pahle honeymōn manā my dear
jab bhī chāhūñ tire father kī ghumā duuñ chābī
apnī mummy ko magar tū bhī paTā my dear
baat manvanī hai arbāb-e-hukūmat se agar
nit-na.e Dhoñg rachā dhuum machā my dear
mil hī jā.egī ġhazal tujh ko koī ek nahīñ
apne ustād ko par chaa.e pilā my dear
apnī dāmādī kā baḳhsheñge sharaf abbā tire
gar nahīñ tujh ko yaqīñ shart lagā my dear
'ishq kā aaj uTThā dekh janāza 'vāhid'
jhūTe Tisve hī sahī kuchh to bahā my dear
lat uTTha hath uTTha juta uTha my dear
apne sine se magar mujh ko laga my dear
ek cup chae bana zahr mila my dear
sabr ka ghunT na is tarah pila my dear
is nae daur mein farsuda riwayat pe na ja
shadi se pahle honeymoon mana my dear
jab bhi chahun tere father ki ghuma dun chabi
apni mummy ko magar tu bhi paTa my dear
baat manwani hai arbab-e-hukumat se agar
nit-nae Dhong racha dhum macha my dear
mil hi jaegi ghazal tujh ko koi ek nahin
apne ustad ko par chae pila my dear
apni damadi ka baKHshenge sharaf abba tere
gar nahin tujh ko yaqin shart laga my dear
'ishq ka aaj uTTha dekh janaza 'wahid'
jhuTe Tiswe hi sahi kuchh to baha my dear
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.