guzre wo jhulate hue jhumka mere aage
Interesting Fact
KHamsa bar-Gazal mirzaa 'Gaalib'
guzre vo jhulāte hue jhumkā mire aage
locket kabhī kangan kabhī chhallā mire aage
rahtā hai hamesha hī ye ḳhatra mire aage
laḌkī mire aage hai ki laḌkā mire aage
hotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage
badlī haiñ yahāñ aaj mohabbat kī vo rasmeñ
shīrīñ na rahī ab kisī farhād ke bas meñ
sohnī ke lage tiir mahīñvāl kī nas meñ
khātī hai yahāñ hiir kisī aur kī qasmeñ
majnūñ ko burā kahtī hai lailā mire aage
sunte ho ajī kahtī thī havvā kī ye duḳhtar
vo tarz-e-taḳhātub thā ye chāhat kā samundar
ab daur-e-masāvāt hai donoñ haiñ barābar
shauhar ko pukāre hai vo ab naam hī le kar
aatā hai abhī dekhiye kyā kyā mire aage
rakhnā thā mohabbat ko chhupā dil kī kalī meñ
va.ada thā nibhāne kā burī aur bhalī meñ
khujlī huī shāyad tire pairoñ kī talī meñ
pakḌī jo ga.ī aaj raqīboñ kī galī meñ
tū dekh ki kyā rang hai terā mire aage
abbā jo tire ishq kī rūdād samajhte
majnūñ kā yaqīnan hameñ ham-zād samajhte
aur ġhaib se bhejī huī imdād samajhte
siine se lagāte hameñ dāmād samajhte
kyūñkar kahūñ lo naam na un kā mire aage
guzre wo jhulate hue jhumka mere aage
locket kabhi kangan kabhi chhalla mere aage
rahta hai hamesha hi ye KHatra mere aage
laDki mere aage hai ki laDka mere aage
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage
badli hain yahan aaj mohabbat ki wo rasmen
shirin na rahi ab kisi farhad ke bas mein
sohni ke lage tir mahinwal ki nas mein
khati hai yahan hir kisi aur ki qasmen
majnun ko bura kahti hai laila mere aage
sunte ho aji kahti thi hawwa ki ye duKHtar
wo tarz-e-taKHatub tha ye chahat ka samundar
ab daur-e-masawat hai donon hain barabar
shauhar ko pukare hai wo ab nam hi le kar
aata hai abhi dekhiye kya kya mere aage
rakhna tha mohabbat ko chhupa dil ki kali mein
wada tha nibhane ka buri aur bhali mein
khujli hui shayad tere pairon ki tali mein
pakDi jo gai aaj raqibon ki gali mein
tu dekh ki kya rang hai tera mere aage
abba jo tere ishq ki rudad samajhte
majnun ka yaqinan hamein ham-zad samajhte
aur ghaib se bheji hui imdad samajhte
sine se lagate hamein damad samajhte
kyunkar kahun lo nam na un ka mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.