the mohalle meñ hī bas do chaar dost
anginat haiñ ab samundar paar dost
facebōk kī haiñ karam-farmā.iyāñ
saarī duniyā meñ haiñ vāqif-kār dost
in meñ kuchh nādār kuchh ḳhush-hāl haiñ
kuchh haiñ duniyā-dār kuchh dīñ-dār dost
sāhab-e-kirdār haiñ in meñ ka.ī
haiñ magar vo bhī jo haiñ fan-kār dost
facebōk se hī mujhe hāsil hue
jab hue jitne hue darkār dost
dost kuchh milte haiñ mujh ko mahv-e-ḳhvāb
beshtar lekin haiñ shab-bedār dost
hāl-e-dil likhte haiñ mere page par
aur samajhte haiñ mujhe ġham-ḳhvār dost
shā.irī se hai shaġhaf to rāt-din
daad māñgeñ bhej kar ash.ār dost
bahs chhiḌ jaa.e siyāsat par agar
be-tukī karte haiñ phir takrār dost
ho agar koī vilādat yā vafāt
facebōk se bhejte haiñ taar dost
karnā hai like mujhe har post ko
chuuk ho jaa.e to haiñ ḳhuñḳhār dost
facebōk ko kholiye jis vaqt bhī
gher lete haiñ gul-o-gulzār dost
facebōk hī āj-kal chaupāl hai
chauk par milte kahāñ haiñ chaar dost
the mohalle mein hi bas do chaar dost
anginat hain ab samundar par dost
facebook ki hain karam-farmaiyan
sari duniya mein hain waqif-kar dost
in mein kuchh nadar kuchh KHush-haal hain
kuchh hain duniya-dar kuchh din-dar dost
sahab-e-kirdar hain in mein kai
hain magar wo bhi jo hain fan-kar dost
facebook se hi mujhe hasil hue
jab hue jitne hue darkar dost
dost kuchh milte hain mujh ko mahw-e-KHwab
beshtar lekin hain shab-bedar dost
haal-e-dil likhte hain mere page par
aur samajhte hain mujhe gham-KHwar dost
shairi se hai shaghaf to raat-din
dad mangen bhej kar ashaar dost
bahs chhiD jae siyasat par agar
be-tuki karte hain phir takrar dost
ho agar koi wiladat ya wafat
facebook se bhejte hain tar dost
karna hai like mujhe har post ko
chuk ho jae to hain KHunKHar dost
facebook ko kholiye jis waqt bhi
gher lete hain gul-o-gulzar dost
facebook hi aaj-kal chaupal hai
chauk par milte kahan hain chaar dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.