tegh-e-abru se war karta hai
teġh-e-abrū se vaar kartā hai
phir vo lāsheñ shumār kartā hai
pahle va.ada vo yaar kartā hai
phir bahāne hazār kartā hai
jab vo mujh se dulār kartā hai
tang lail-o-nahār kartā hai
vo mohabbat ke len-den meñ bhī
ārzūeñ udhār kartā hai
pahle ghar se nikāltā hai vo
aur phir intizār kartā hai
yuuñ to kartā hai har koī kuchh aur
vo samajhte haiñ pyaar kartā hai
ahl-e-urdu jahāñ pe ġhaur kareñ
hindī vaalā bichār kartā hai
vo mirā yaar apnī illat ko
mere sar par savār kartā hai
kyā bañdhā vo amiir laḌkī se
rāt-bhar car car kartā hai
fā.elātun mafā.elun felun
kyoñ miyāñ bār-bār kartā hai
terā 'pāpā' aruuz ke badle
ek do tiin chaar kartā hai
tegh-e-abru se war karta hai
phir wo lashen shumar karta hai
pahle wada wo yar karta hai
phir bahane hazar karta hai
jab wo mujh se dular karta hai
tang lail-o-nahaar karta hai
wo mohabbat ke len-den mein bhi
aarzuen udhaar karta hai
pahle ghar se nikalta hai wo
aur phir intizar karta hai
yun to karta hai har koi kuchh aur
wo samajhte hain pyar karta hai
ahl-e-urdu jahan pe ghaur karen
hindi wala bichaar karta hai
wo mera yar apni illat ko
mere sar par sawar karta hai
kya bandha wo amir laDki se
raat-bhar car car karta hai
faelatun mafaelun felun
kyon miyan bar-bar karta hai
tera 'papa' aruz ke badle
ek do tin chaar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.