o des se aane wale bata
kyā ab bhī vahāñ kā har shā.ir
tanqīd kā maarā hai ki nahīñ
iflās kī aañkh kā taarā hai
vo rāj-dulārā hai ki nahīñ
vo ik ghasiyārā hai ki nahīñ
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī vahāñ par ganjā-sar
scholar samjhā jaatā hai
kyā ab bhī vahāñ kā har M-A
'ġhālib' par kuchh farmātā hai
aur jail kī zulmat meñ kho kar
'iqbāl' se bhī Takrātā hai
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī vahāñ ke sab shauhar
rātoñ ko chhup kar rote haiñ
kyā ab bhī vo qismat ke maare
daftar meñ aksar sote haiñ
ta.anoñ kā nishāna bante haiñ
jab ghar meñ kabhī vo hote haiñ
āḳhir meñ ye hasrat hai ki batā
rehāna ke kitne bachche haiñ
rehāna ke 'vo' kis haal meñ haiñ
kyā ab bhī vo pension paate haiñ
kuchh baal to the jab maiñ thā vahāñ
kyā ab vo mukammal ganje haiñ
o des se aane vaale batā
kya ab bhi wahan ka har shair
tanqid ka mara hai ki nahin
iflas ki aankh ka tara hai
wo raj-dulara hai ki nahin
wo ek ghasiyara hai ki nahin
o des se aane wale bata
kya ab bhi wahan par ganja-sar
scholar samjha jata hai
kya ab bhi wahan ka har M-A
'ghaalib' par kuchh farmata hai
aur jail ki zulmat mein kho kar
'iqbaal' se bhi Takraata hai
o des se aane wale bata
kya ab bhi wahan ke sab shauhar
raaton ko chhup kar rote hain
kya ab bhi wo qismat ke mare
daftar mein aksar sote hain
tanon ka nishana bante hain
jab ghar mein kabhi wo hote hain
aaKHir mein ye hasrat hai ki bata
rehana ke kitne bachche hain
rehana ke 'wo' kis haal mein hain
kya ab bhi wo pension pate hain
kuchh baal to the jab main tha wahan
kya ab wo mukammal ganje hain
o des se aane wale bata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.