himaqaton ko mohabbat ki dastan kar len
himāqatoñ ko mohabbat kī dāstāñ kar leñ
zamīñ ko jis ghaḌī chāheñ ham āsmāñ kar leñ
paḌhā rahe haiñ jo bachchoñ ko un javānoñ se
ye iltijā hai ki sab paan kī dukāñ kar leñ
tire huzūr meñ kahnā agar zarūrī ho
vo kis taraf se kaheñ band jo dahāñ kar leñ
jo haañ kaheñ to sarāpā ḳharāb ho jaa.e
nahīñ kahīñ to hazāroñ ko bad-gumāñ kar leñ
javān ghar meñ buḌhāpe ko kyoñ karūñ bardāsht
Thikānā apnā kahīñ aur baap maañ kar leñ
rahegā apne sar ilzām-e-sar-kashī 'pāpā'
hazār jhuk ke ham apnī kamar kamāñ kar leñ
himaqaton ko mohabbat ki dastan kar len
zamin ko jis ghaDi chahen hum aasman kar len
paDha rahe hain jo bachchon ko un jawanon se
ye iltija hai ki sab pan ki dukan kar len
tere huzur mein kahna agar zaruri ho
wo kis taraf se kahen band jo dahan kar len
jo han kahen to sarapa KHarab ho jae
nahin kahin to hazaron ko bad-guman kar len
jawan ghar mein buDhape ko kyon karun bardasht
Thikana apna kahin aur bap man kar len
rahega apne sar ilzam-e-sar-kashi 'papa'
hazar jhuk ke hum apni kamar kaman kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.