aaKHiri KHwahish
dekh kar beTe ke lachchhan baap ne us se kahā
tū paḌhā.ī meñ nikammā hai mire juzv-e-badan
āḳhirī ḳhvāhish hai merī jaan le ai nūr-e-chashm
tū commissioner ban nahīñ saktā na ban leader to ban
paanī paanī kar ga.ī beTe ko abbā kī ye baat
tū jhukā jab saas ke aage to phir naukar bhī ban
bhuul kar sab qadreñ apnī ham to hindū ho ga.e
jaane ham ko ab kahāñ le jā.egā dīvāna-pan
gar yahī mahñgā.ī kā aalam rahā to ek din
bechnā paḌ jā.egā ham ko bhī apnā pairahan
dekh kar beTe ke lachchhan bap ne us se kaha
tu paDhai mein nikamma hai mere juzw-e-badan
aaKHiri KHwahish hai meri jaan le ai nur-e-chashm
tu commissioner ban nahin sakta na ban leader to ban
pani pani kar gai beTe ko abba ki ye baat
tu jhuka jab sas ke aage to phir naukar bhi ban
bhul kar sab qadren apni hum to hindu ho gae
jaane hum ko ab kahan le jaega diwana-pan
gar yahi mahngai ka aalam raha to ek din
bechna paD jaega hum ko bhi apna pairahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.