kucha-e-yar mein maine jo jabin-sai ki
kūcha-e-yār meñ maiñ ne jo jabīñ-sā.ī kī
us ke abbā ne mirī ḳhuub pazīrā.ī kī
maiñ to samjhā thā ki vo shaḳhs masīhā hogā
us ne par sirf mirī tāra-masīhā.ī kī
us ke ghar pe hī raqīboñ se mulāqāt huī
kyā sunā.ūñ maiñ kahānī tujhe paspā.ī kī
mere taayā se vo haiñ umr meñ das saal baḌī
ghar ke har fard pe dahshat hai mirī taa.ī kī
sar khujāte jo rahe nāḳhun-e-tadbīr se ham
phir zarūrat na rahī ham ko kisī naa.ī kī
vo bharī bazm meñ kahtī hai mujhe uncle-jī
diplomacy hai ye kaisī mirī ham-sā.ī kī
kuchh to badnām hī the ishq-e-butāñ meñ ham log
kuchh raqīboñ ne bahut hāshiya-ārā.ī kī
raat hujre meñ ilāqe kī police ghus aa.ī
baat to sach hai magar baat hai rusvā.ī kī
maiñ jise hiir samajhtā thā vo rāñjhā niklā
baat nīyat kī nahīñ baat hai bīnā.ī kī
kucha-e-yar mein main ne jo jabin-sai ki
us ke abba ne meri KHub pazirai ki
main to samjha tha ki wo shaKHs masiha hoga
us ne par sirf meri tara-masihai ki
us ke ghar pe hi raqibon se mulaqat hui
kya sunaun main kahani tujhe paspai ki
mere taya se wo hain umr mein das sal baDi
ghar ke har fard pe dahshat hai meri tai ki
sar khujate jo rahe naKHun-e-tadbir se hum
phir zarurat na rahi hum ko kisi nai ki
wo bhari bazm mein kahti hai mujhe uncle-ji
diplomacy hai ye kaisi meri ham-sai ki
kuchh to badnam hi the ishq-e-butan mein hum log
kuchh raqibon ne bahut hashiya-arai ki
raat hujre mein ilaqe ki police ghus aai
baat to sach hai magar baat hai ruswai ki
main jise hir samajhta tha wo ranjha nikla
baat niyat ki nahin baat hai binai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.