Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin-e-zarafat

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    mire dil meñ achānak ye ḳhayāl aayā

    zarāfat zamīñ banjar paḌī hai

    maiñ is ābyārī kar ke dekhūñ

    zarā nam ho to shāyad ye bahut zarḳhez ho jaa.e

    ye merī arq-rezī se to kuchh nam ho ga.ī hai

    ab is banjar zamīñ meñ ḳhvāh-maḳhvāh meñ

    tabassum ke jo thoḌe biij bo.e rahā huuñ

    kal in meñ se hañsī

    nannhī koñpleñ hans hans ke phūTeñgī

    phir in koñpaloñ meñ

    qahqahoñ ke phuul ā.eñge

    kuchh aise phuul bhī the

    jo khilā karte the pahle bhī

    magar vāqif na the

    ḳhud apnī bhīnī bhīnī ḳhushbū se

    salīqa siikh jā.egī havā bhī dhīre dhīre

    ki kaise chūmte haiñ

    adh-khilī kaliyoñ ko phūloñ ko

    chaman meñ bulbuloñ aur bhañvaroñ raaj hogā

    ijāzat na hogī dāḳhle tab bagūloñ ko

    chalegī jab havā sher-o-suḳhan

    hañsī aur qahqahoñ ke phuul apne sar hilā kar

    kuchh is andāz se vo daad deñge ahl-e-fan ko

    fazā meñ bhīnī bhīnī un ḳhushbū phail jā.egī

    aur is tarah zarāfat vahī banjar zamīñ bhī

    ik hañste khilkhilāte aur ḳhushbū se mo.attar

    sarāsar ḳhitta-e-sarsabz-o-shādāb ban kar

    dukhī āzurda-ḳhātir ġham ke māroñ ko

    hañsī aur qahqahoñ ne.amatoñ se

    sab ko mālā-māl kar degī

    isī tarah jahāñ tak ho sakegā

    masarrat aur ḳhushī ke giit naġhme

    milā kar un ke sur meñ apnā sur gā.uñgā maiñ bhī

    savāb-e-jāriya pā.ūñgā maiñ bhī

    mere dil mein achanak ye KHayal aaya

    zarafat ki zamin banjar paDi hai

    main is ki aabyari kar ke dekhun

    zara nam ho to shayad ye bahut zarKHez ho jae

    ye meri arq-rezi se to kuchh nam ho gai hai

    ab is banjar zamin mein KHwah-maKHwah mein

    tabassum ke jo thoDe bij boe ja raha hun

    kal in mein se hansi ki

    nannhi konplen hans hans ke phuTengi

    phir in hi konpalon mein

    qahqahon ke phul aaenge

    kuchh aise phul bhi the

    jo khila karte the pahle bhi

    magar waqif na the

    KHud apni bhini bhini KHushbu se

    saliqa sikh jaegi hawa bhi dhire dhire

    ki kaise chumte hain

    adh-khili kaliyon ko phulon ko

    chaman mein bulbulon ka aur bhanwaron hi ka raj hoga

    ijazat hi na hogi daKHle ki tab bagulon ko

    chalegi jab hawa sher-o-suKHan ki

    hansi aur qahqahon ke phul apne sar hila kar

    kuchh is andaz se wo dad denge ahl-e-fan ko

    faza mein bhini bhini un ki KHushbu phail jaegi

    aur is tarah zarafat ki wahi banjar zamin bhi

    ek hanste khilkhilate aur KHushbu se moattar

    sarasar KHitta-e-sarsabz-o-shadab ban kar

    dukhi aazurda-KHatir gham ke maron ko

    hansi aur qahqahon ki neamaton se

    sab ko mala-mal kar degi

    isi tarah jahan tak ho sakega

    masarrat aur KHushi ke git naghme

    mila kar un ke sur mein apna sur gaunga main bhi

    sawab-e-jariya paunga main bhi

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now