roTiyan
kamyāb ho ga.iiñ jo zahānat kī roTiyāñ
khāne lage haiñ log jahālat kī roTiyāñ
mehnat se jin ko aar hai vo bhiik maañg kar
din-rāt toḌte haiñ saḳhāvat kī roTiyāñ
khā to rahe ho dekhnā pachhtāoge ik din
hotī nahīñ haiñ hazm adāvat kī roTiyāñ
leader hamāre bāhamī nafrat kī aag par
jab señk chuke gandī siyāsat kī roTiyāñ
ab aarzī fat.h pe nadīdoñ ko dekhiye
itrā ke khā rahe haiñ himāqat kī roTiyāñ
kuttoñ ko khilā.enge mohabbat kī ġhizā.eñ
mehmāñ ko khilāte haiñ hiqārat kī roTiyāñ
charbī ghaTā leñ apnī sehat-mand aurteñ
parhez meñ khātī haiñ nazākat kī roTiyāñ
ghar ke kitchen kā buzurgo rakhnā zarā ḳhayāl
dekho vahāñ pakeñ na baġhāvat kī roTiyāñ
aql-e-kul hī jinheñ chhū kar nahīñ ga.ī
bāñTo na un meñ fahm-o-farāsat kī roTiyāñ
insāñ ko satā.egī sadā bhuuk havas kī
jab tak na mayassar hoñ qanā.at kī roTiyāñ
merī sehat kā raaz bas itnā hai 'ḳhvāh-maḳhvāh'
khātā huuñ roz tanz-o-zarāfat kī roTiyāñ
kamyab ho gain jo zahanat ki roTiyan
khane lage hain log jahaalat ki roTiyan
mehnat se jin ko aar hai wo bhik mang kar
din-raat toDte hain saKHawat ki roTiyan
kha to rahe ho dekhna pachhtaoge ek din
hoti nahin hain hazm adawat ki roTiyan
leader hamare bahami nafrat ki aag par
jab senk chuke gandi siyasat ki roTiyan
ab aarzi fath pe nadidon ko dekhiye
itra ke kha rahe hain himaqat ki roTiyan
kutton ko khilaenge mohabbat ki ghizaen
mehman ko khilate hain hiqarat ki roTiyan
charbi ghaTa len apni sehat-mand aurten
parhez mein khati hain nazakat ki roTiyan
ghar ke kitchen ka buzurgo rakhna zara KHayal
dekho wahan paken na baghawat ki roTiyan
aql-e-kul hi jinhen chhu kar nahin gai
banTo na un mein fahm-o-farasat ki roTiyan
insan ko sataegi sada bhuk hawas ki
jab tak na mayassar hon qanaat ki roTiyan
meri sehat ka raaz bas itna hai 'KHwah-maKHwah'
khata hun roz tanz-o-zarafat ki roTiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.