pahle pahle shauhar ko har mausam bhiga lagta hai
pahle pahle shauhar ko har mausam bhiga lagta hai
Ghaus Khah makhah Hyderabadi
MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi
pahle pahle shauhar ko har mausam bhīgā lagtā hai
yuuñ samjho billī ke bhāgoñ TuuTā chhīkā lagtā hai
phīkā lunch aur dinner bhī umda aur tīkhā lagtā hai
naqlī tel meñ tallā samosa aslī ghī kā lagtā hai
shādī ek chewing-gum hai jo pahle mīThā lagtā hai
phir muñh meñ jitnā ghologe utnā phīkā lagtā hai
aqad huā jab merā us dam koī chhiñkā lagtā hai
ā.īne meñ merā chehra aur kisī kā lagtā hai
mahfil meñ jab ghūrā un ko ek sahelī yuuñ bolī
biivī ko taktā rahtā hai muā na-dīda lagtā hai
'ḳhvāh-maḳhvāh' na merā hī na aur kisī kā lagtā hai
jitne shauhar baiThe haiñ ye haal sabhī kā lagtā hai
pahle pahle shauhar ko har mausam bhiga lagta hai
yun samjho billi ke bhagon TuTa chhika lagta hai
phika lunch aur dinner bhi umda aur tikha lagta hai
naqli tel mein talla samosa asli ghi ka lagta hai
shadi ek chewing-gum hai jo pahle miTha lagta hai
phir munh mein jitna ghologe utna phika lagta hai
aqad hua jab mera us dam koi chhinka lagta hai
aaine mein mera chehra aur kisi ka lagta hai
mahfil mein jab ghura un ko ek saheli yun boli
biwi ko takta rahta hai mua na-dida lagta hai
'KHwah-maKHwah' na mera hi na aur kisi ka lagta hai
jitne shauhar baiThe hain ye haal sabhi ka lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.