Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri mahbub

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    merī mahbūb tujhe merī mohabbat qasam

    apnī halkī sharāfat ishāra de de

    jeb se maarā huā note karārā de de

    ai mirī jaañ mire uljhe hue maqte ġhazal

    jise dekhā nahīñ us ḳhvāb ulTī ta.abīr

    mehrbāñ ho to khil jaa.e mire dil kañval

    apnī be-laus mohabbat dikhā de tāsīr

    aa ke dhobī hai khaḌā us udhārā de de

    jeb se maarā huā note karārā de de

    kyā bhulā saktī hai pahlī mulāqāt apnī

    merī cycle se jo jaan ke Takrā.ī thī

    ek din aaḌ the kuchh baal tire sar pe magar

    terī choTī mirī muTThī meñ simaT aa.ī thī

    baal naqlī sahī un utārā de de

    jeb se maarā huā note karārā de de

    yaad hai tujh ko mire haath sone ghaḌī

    tirī ḳhātir jise chhāñv meñ rakhvāyā hai

    suud ke paise jo māñge haiñ chhuḌāne ke liye

    tirchhī āñkhoñ meñ tirī ḳhuun utar aayā hai

    ye tirī tirchhī adā bhī hai gavāra de de

    jeb se maarā huā note karārā de de

    naak phūlī huī do naalī tafanche tarah

    tere tarshe hue abrū ne kiyā dil ghāyal

    le ga.e chain mirā pichke hue gaal tire

    dil ke darmāñ ke liye aayā huuñ ban kar saa.il

    qalb-e-muztar ke liye ālū-buḳhārā de de

    jeb se maarā huā note karārā de de

    aarzū thī mire bachche tujhe ammī kahte

    isī hasrat meñ guzārī hai javānī maiñ ne

    shauq-e-aulād ne kyā dil pe sitam toḌe haiñ

    saada lafzoñ meñ sunā.ī hai kahānī maiñ ne

    ab bhī hai vaqt buḌhāpe sahārā de de

    jeb se maarā huā note karārā de de

    saare kapḌe mire ab ho ga.e Dhīle-Dhāle

    na.e fashion maiñ patlūn kahāñ se lā.ūñ

    'ḳhvāh-maḳhvāh' ā.uñgā sasurāl pahan kar luñgī

    gar tirī zid hai ki maiñ panT pahan kar aa.uuñ

    le ke patlūn mirī apnā ġharāra de de

    jeb se maarā huā note karārā de de

    meri mahbub tujhe meri mohabbat ki qasam

    apni halki si sharafat ka ishaara de de

    jeb se mara hua note karara de de

    ai meri jaan mere uljhe hue maqte ki ghazal

    jise dekha nahin us KHwab ki ulTi tabir

    tu mehrban ho to khil jae mere dil ka kanwal

    apni be-laus mohabbat ki dikha de tasir

    aa ke dhobi hai khaDa us ka udhaara de de

    jeb se mara hua note karara de de

    kya bhula sakti hai tu pahli mulaqat apni

    meri cycle se jo tu jaan ke Takrai thi

    ek din aaD the kuchh baal tere sar pe magar

    teri choTi meri muTThi mein simaT aai thi

    baal naqli hi sahi un ka utara de de

    jeb se mara hua note karara de de

    yaad hai tujh ko mere hath ki sone ki ghaDi

    teri KHatir hi jise chhanw mein rakhwaya hai

    sud ke paise jo mange hain chhuDane ke liye

    tirchhi aankhon mein teri KHun utar aaya hai

    ye teri tirchhi ada bhi hai gawara de de

    jeb se mara hua note karara de de

    nak phuli hui do nali tafanche ki tarah

    tere tarshe hue abru ne kiya dil ghayal

    le gae chain mera pichke hue gal tere

    dil ke darman ke liye aaya hun ban kar sail

    qalb-e-muztar ke liye aalu-buKHara de de

    jeb se mara hua note karara de de

    aarzu thi mere bachche tujhe ammi kahte

    isi hasrat mein guzari hai jawani main ne

    shauq-e-aulad ne kya dil pe sitam toDe hain

    sada lafzon mein sunai hai kahani main ne

    ab bhi hai waqt buDhape ka sahaara de de

    jeb se mara hua note karara de de

    sare kapDe mere ab ho gae Dhile-Dhaale

    nae fashion ka main patlun kahan se laun

    'KHwah-maKHwah' aaunga sasural pahan kar lungi

    gar teri zid hai ki main panT pahan kar aaun

    le ke patlun meri apna gharara de de

    jeb se mara hua note karara de de

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now