bata teri ghiza kya hai
agar dāvat ho khāne kī to is meñ sochnā kyā hai
nahīñ gar ye ḳhudā kī den to is ke sivā kyā hai
jo ghar meñ daal roTī roz hī khaa.e bilā-nāġha
vahī jānegā biryānī matanjan meñ mazā kyā hai
mirā ye mashvara tū maan le hogā bhalā terā
kabhī ye bhuul kar mat dekh dastar pe rakhā kyā hai
muqaddar meñ jo likhā hai tire khā le use DaT kar
takalluf to sarāsar ik aziyyat ke sivā kyā hai
samajh le naam terā hī likhā hai daane daane par
kabhī mat soch me.ade ke liye achchhā burā kyā hai
tū hifz-e-mā-taqaddum aur itmīnān kī ḳhātir
pakaḌ kar mezbāñ ko pūchh le āḳhir pakā kyā hai
kabhī tū ne paḌhā bhī hai mire kapḌe ke dastar par
jalī harfoñ kī jo tahrīr hai us meñ likhā kyā hai
shikam ko kar vasī.a itnā ki har pakvān se pahle
tujhe ḳhud mezbāñ pūchhe batā terī ġhizā kyā hai
mujhe khāne ke fauran baad hī phir bhuuk lagtī hai
koī to ye batā.e 'ḳhvāh-maḳhvāh' mujh ko huā kyā hai
agar dawat ho khane ki to is mein sochna kya hai
nahin gar ye KHuda ki den to is ke siwa kya hai
jo ghar mein dal roTi roz hi khae bila-nagha
wahi jaanega biryani matanjan mein maza kya hai
mera ye mashwara tu man le hoga bhala tera
kabhi ye bhul kar mat dekh dastar pe rakha kya hai
muqaddar mein jo likha hai tere kha le use DaT kar
takalluf to sarasar ek aziyyat ke siwa kya hai
samajh le nam tera hi likha hai dane dane par
kabhi mat soch meade ke liye achchha bura kya hai
tu hifz-e-ma-taqaddum aur itminan ki KHatir
pakaD kar mezban ko puchh le aaKHir paka kya hai
kabhi tu ne paDha bhi hai mere kapDe ke dastar par
jali harfon ki jo tahrir hai us mein likha kya hai
shikam ko kar wasia itna ki har pakwan se pahle
tujhe KHud mezban puchhe bata teri ghiza kya hai
mujhe khane ke fauran baad hi phir bhuk lagti hai
koi to ye batae 'KHwah-maKHwah' mujh ko hua kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.