gharelu mansuba-bandi
ab ke begam mirī maike se jo vāpas aa.iiñ
ek murġhī bhī ba-sad shauq vahāñ se lā.īñ
maiñ ne pūchhā ki mirī jaan irāda kyā hai
tan ke bolīñ ki mujhe aap ne samjhā kyā hai
zehn ne mere banā.ī hai ik aisī scheme
dañg hoñ sun ke jise ilm-e-ma.īshat ke hakīm
aap bāzār se anDe to zarā dauḌ ke laa.eñ
taaki ham jald se jald aaj hī murġhī ko biThā.eñ
tiin haftoñ meñ nikal ā.eñge chūze saare
to sahī aap ko pyaar aa.e vo pyāre pyāre
chhe mahīne meñ javāñ ho ke vahī murġh-bachche
nasl phailāte chale jā.eñge dhīre dhīre
dekh lījegā ba-tā.īd-e-ḳhudā-e-dānā
poultry-form banegā mirā murġhī-ḳhāna
poultry-form meñ anDoñ kī tijārat hogī
daur-e-usrat isī murġhī kī badaulat hogī
maiñ vo aurat huuñ ki hikmat mirī mardoñ ko charā.e
inhīñ paisoñ se ḳharīdūñgī maiñ kuchh bhaiñseñ aur gaay
dairy-farm banegā vo taraqqī hogī
jū-e-shīr aap hī añgnā.ī meñ bahtī hogī
aql kī baat batātī huuñ achambhā kyā hai
duudh se aap ko nahlā.ūñgī samjhā kyā hai
bachche tarseñge na makkhan ke liye ghī ke liye
aap daftar meñ na sar māreñge daftar ke liye
mere ḳhvāboñ ke tasadduq meñ ba-shart-e-ta.amīl
chand hī saal meñ ho jā.egī duniyā tabdīl
sehr tadbīr kā taqdīr pe chal jā.egā
jhoñpaḌā aap kā koThī meñ badal jā.egā
al-ġharaz hotī rahī baat yahī tā-sar-e-shām
nau baje raat ko sone kā jo aayā hañgām
so ga.iiñ rakh ke hifāzat se use zer-e-palañg
ḳhvāb meñ aatī rahī nashsha-e-daulat kī tarañg
sun rahī thī koī billī bhī hamārī bāteñ
pyārī begam kī vo dilchasp vo pyārī bāteñ
raat aadhī bhī nahīñ guzrī thī ki ik shor machā
chīḳh murġhī kī sunī niiñd se maiñ chauñk paḌā
aañkh maltā huā uTThā to ye naqsha paayā
us bichārī ko sahanchī meñ taḌaptā paayā
daañt billī ne gaḌā.e the jo gardan ke qarīb
mar ga.ī chand hī lamhoñ meñ phaḌak kar vo ġharīb
sub.h ke vaqt ġharaz ghar kā ye naqsha dekhā
chehra begam kā kisī soch meñ laTkā dekhā
roTī bachchoñ ne jo māñgī to do hatthaḌ maarā
ise ghūñsa use chāñTā use thappaḌ maarā
ab ke begam meri maike se jo wapas aain
ek murghi bhi ba-sad shauq wahan se lain
main ne puchha ki meri jaan irada kya hai
tan ke bolin ki mujhe aap ne samjha kya hai
zehn ne mere banai hai ek aisi scheme
dang hon sun ke jise ilm-e-maishat ke hakim
aap bazar se anDe to zara dauD ke laen
taki hum jald se jald aaj hi murghi ko biThaen
tin hafton mein nikal aaenge chuze sare
to sahi aap ko pyar aae wo pyare pyare
chhe mahine mein jawan ho ke wahi murgh-bachche
nasl phailate chale jaenge dhire dhire
dekh lijega ba-taid-e-KHuda-e-dana
poultry-form banega mera murghi-KHana
poultry-form mein anDon ki tijarat hogi
daur-e-usrat isi murghi ki badaulat hogi
main wo aurat hun ki hikmat meri mardon ko charae
inhin paison se KHaridungi main kuchh bhainsen aur gay
dairy-farm banega wo taraqqi hogi
ju-e-shir aap hi angnai mein bahti hogi
aql ki baat batati hun achambha kya hai
dudh se aap ko nahlaungi samjha kya hai
bachche tarsenge na makkhan ke liye ghi ke liye
aap daftar mein na sar marenge daftar ke liye
mere KHwabon ke tasadduq mein ba-shart-e-tamil
chand hi sal mein ho jaegi duniya tabdil
sehr tadbir ka taqdir pe chal jaega
jhonpaDa aap ka koThi mein badal jaega
al-gharaz hoti rahi baat yahi ta-sar-e-sham
nau baje raat ko sone ka jo aaya hangam
so gain rakh ke hifazat se use zer-e-palang
KHwab mein aati rahi nashsha-e-daulat ki tarang
sun rahi thi koi billi bhi hamari baaten
pyari begam ki wo dilchasp wo pyari baaten
raat aadhi bhi nahin guzri thi ki ek shor macha
chiKH murghi ki suni nind se main chaunk paDa
aankh malta hua uTTha to ye naqsha paya
us bichaari ko sahanchi mein taDapta paya
dant billi ne gaDae the jo gardan ke qarib
mar gai chand hi lamhon mein phaDak kar wo gharib
subh ke waqt gharaz ghar ka ye naqsha dekha
chehra begam ka kisi soch mein laTka dekha
roTi bachchon ne jo mangi to do hatthaD mara
ise ghunsa use chanTa use thappaD mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.