zindagi maut ke pahlu mein bhali lagti hai
zindagī maut ke pahlū meñ bhalī lagtī hai
ghaas is qabr pe kuchh aur harī lagtī hai
roz kāġhaz pe banātā huuñ maiñ qadmoñ ke nuqūsh
koī chaltā nahīñ aur ham-safarī lagtī hai
aañkh mānūs-e-tamāshā nahīñ hone paatī
kaisī sūrat hai ki har roz na.ī lagtī hai
ghaas meñ jazb hue hoñge zamīñ ke aañsū
paañv rakhtā huuñ to halkī sī namī lagtī hai
sach to kah duuñ magar is daur ke insānoñ ko
baat jo dil se nikaltī hai burī lagtī hai
mere shīshe meñ utar aa.ī hai jo shām-e-firāq
vo kisī shahr-e-nigārāñ kī parī lagtī hai
buuñd bhar ashk bhī Tapkā na kisī ke ġham meñ
aaj har aañkh koī abr-e-tahī lagtī hai
shor-e-tiflāñ bhī nahīñ hai na raqīboñ kā hujūm
lauT aao ye koī aur galī lagtī hai
ghar meñ kuchh kam hai ye ehsās bhī hotā hai 'salīm'
ye bhī khultā nahīñ kis shai kī kamī lagtī hai
zindagi maut ke pahlu mein bhali lagti hai
ghas is qabr pe kuchh aur hari lagti hai
roz kaghaz pe banata hun main qadmon ke nuqush
koi chalta nahin aur ham-safari lagti hai
aankh manus-e-tamasha nahin hone pati
kaisi surat hai ki har roz nai lagti hai
ghas mein jazb hue honge zamin ke aansu
panw rakhta hun to halki si nami lagti hai
sach to kah dun magar is daur ke insanon ko
baat jo dil se nikalti hai buri lagti hai
mere shishe mein utar aai hai jo sham-e-firaq
wo kisi shahr-e-nigaran ki pari lagti hai
bund bhar ashk bhi Tapka na kisi ke gham mein
aaj har aankh koi abr-e-tahi lagti hai
shor-e-tiflan bhi nahin hai na raqibon ka hujum
lauT aao ye koi aur gali lagti hai
ghar mein kuchh kam hai ye ehsas bhi hota hai 'salim'
ye bhi khulta nahin kis shai ki kami lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.