zindagi kaise lagi diwar se
zindagī kaise lagī dīvār se
pūchhnā bhī kyā kisī dīvār se
bas mujhe sar phoḌne kā shauq thā
baat thī dīvār kī dīvār se
TūTte dil kī kahānī bhī kahī
ya.anī phir TuuTī huī dīvār se
aao ham dīvār-e-girya kā pata
pūchh lete haiñ kisī dīvār se
jo rukāvaT thī hamārī raah kī
rāsta niklā usī dīvār se
dastakoñ se dar the aise be-niyāz
lag ga.iiñ āñkheñ mirī dīvār se
is taraf sūraj nikal aayā hai kyā
aa rahī hai raushnī dīvār se
zindagi kaise lagi diwar se
puchhna bhi kya kisi diwar se
bas mujhe sar phoDne ka shauq tha
baat thi diwar ki diwar se
TuTte dil ki kahani bhi kahi
yani phir TuTi hui diwar se
aao hum diwar-e-girya ka pata
puchh lete hain kisi diwar se
jo rukawaT thi hamari rah ki
rasta nikla usi diwar se
dastakon se dar the aise be-niyaz
lag gain aankhen meri diwar se
is taraf suraj nikal aaya hai kya
aa rahi hai raushni diwar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.