zara si KHak the par aasman uTha lae
zarā sī ḳhaak the par āsmāñ uThā laa.e
badan ke saath ye āshob-e-jāñ uThā laa.e
taras rahī thiiñ ye āñkheñ kisī kī sūrat ko
so ham bhī dasht meñ āb-e-ravāñ uThā laa.e
yahāñ ke log to ḳhvāboñ se munharif haiñ bahut
ham apne aap ko āḳhir kahāñ uThā laa.e
kahānī meñ jo kināroñ pe chal rahā thā koī
ham ek roz use darmiyāñ uThā laa.e
bahut hī nafā hai is kārobār meñ ham ko
charāġh chhoḌ diyā aur dhuāñ uThā laa.e
zara si KHak the par aasman uTha lae
badan ke sath ye aashob-e-jaan uTha lae
taras rahi thin ye aankhen kisi ki surat ko
so hum bhi dasht mein aab-e-rawan uTha lae
yahan ke log to KHwabon se munharif hain bahut
hum apne aap ko aaKHir kahan uTha lae
kahani mein jo kinaron pe chal raha tha koi
hum ek roz use darmiyan uTha lae
bahut hi nafa hai is karobar mein hum ko
charagh chhoD diya aur dhuan uTha lae
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 81)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 83)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.