Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara haTe to wo mehwar se TuT kar hi rahe

Ali Akbar Abbas

zara haTe to wo mehwar se TuT kar hi rahe

Ali Akbar Abbas

MORE BYAli Akbar Abbas

    zarā haTe to vo mehvar se TuuT kar rahe

    havā ne nochā unheñ yuuñ ki bas bikhar rahe

    haiñ be-nishāñ jo uḌe the bagūla-zad ho kar

    zamīñ pe leTne vaale zamīn par rahe

    bahār jhāḌiyoñ par TuuT TuuT kar barsī

    duā.eñ māñgte ashjār be-samar rahe

    ḳhushā ye saaya o ḳhushbū ki tā.ir-e-ḳhush-rañg

    na phir ye vaqt rahe aur na ye shajar rahe

    banā.eñ aisā makāñ ab ki chāñd aur sūraj

    jidhar bhī jaa.eñ magar raushnī idhar rahe

    zara haTe to wo mehwar se TuT kar hi rahe

    hawa ne nocha unhen yun ki bas bikhar hi rahe

    hain be-nishan jo uDe the bagula-zad ho kar

    zamin pe leTne wale zamin par hi rahe

    bahaar jhaDiyon par TuT TuT kar barsi

    duaen mangte ashjar be-samar hi rahe

    KHusha ye saya o KHushbu ki tair-e-KHush-rang

    na phir ye waqt rahe aur na ye shajar hi rahe

    banaen aisa makan ab ki chand aur suraj

    jidhar bhi jaen magar raushni idhar hi rahe

    Source :
    • Book : Ber Aab e Neel (Pg. 83)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now