zamin nai thi anasir ki KHu badalti thi
zamīñ na.ī thī 'anāsir kī ḳhū badaltī thī
havā se pahle jazīre pe dhuup chaltī thī
nigah bahalne lagī thī hasīñ manāzir se
bas ek rañj kī hālat nahīñ bahaltī thī
us ik charāġh se chehre kī diid mushkil thī
nazar kī lau kabhī girtī kabhī sañbhaltī thī
hamāre dasht ko vahshat nahīñ milī thī abhī
so us ke dil meñ koī aabjū machaltī thī
saḌak kā surma.ī dil bichh rahā thā pairoñ meñ
vo gul-nazhād kahīñ sair ko nikaltī thī
hamārī ḳhaak tabarruk samajh ke le jaao
hamārī jaan mohabbat kī lau meñ jaltī thī
zamin nai thi 'anasir ki KHu badalti thi
hawa se pahle jazire pe dhup chalti thi
nigah bahalne lagi thi hasin manazir se
bas ek ranj ki haalat nahin bahalti thi
us ek charagh se chehre ki did mushkil thi
nazar ki lau kabhi girti kabhi sanbhalti thi
hamare dasht ko wahshat nahin mili thi abhi
so us ke dil mein koi aabju machalti thi
saDak ka surmai dil bichh raha tha pairon mein
wo gul-nazhad kahin sair ko nikalti thi
hamari KHak tabarruk samajh ke le jao
hamari jaan mohabbat ki lau mein jalti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.