zamin kahin bhi na thi chaar-su samundar tha
zamīñ kahīñ bhī na thī chār-sū samundar thā
kise dikhāte baḌā haul-nāk manzar thā
luḌhak ke merī taraf aa rahā thā ik patthar
phir ek aur phir ik aur baḌā sā patthar thā
fasīleñ dil kī girātā huā jo dar aayā
vo koī aur na thā ḳhvāhishoñ kā lashkar thā
bulā rahā thā koī chīḳh chīḳh kar mujh ko
kueñ meñ jhāñk ke dekhā to maiñ hī andar thā
bahut se haath ug aa.e the merī āñkhoñ meñ
har ek haath meñ ik nok-dār ḳhanjar thā
vo jañgaloñ meñ daraḳhtoñ pe kūdte phirnā
burā bahut thā magar aaj se to behtar thā
hamāre vāste 'alvī' ke sher kyā kam haiñ
chalo qubūl ki 'ġhālib' baḌā suḳhan-var thā
zamin kahin bhi na thi chaar-su samundar tha
kise dikhate baDa haul-nak manzar tha
luDhak ke meri taraf aa raha tha ek patthar
phir ek aur phir ek aur baDa sa patthar tha
fasilen dil ki giraata hua jo dar aaya
wo koi aur na tha KHwahishon ka lashkar tha
bula raha tha koi chiKH chiKH kar mujh ko
kuen mein jhank ke dekha to main hi andar tha
bahut se hath ug aae the meri aankhon mein
har ek hath mein ek nok-dar KHanjar tha
wo jangalon mein daraKHton pe kudte phirna
bura bahut tha magar aaj se to behtar tha
hamare waste 'alwi' ke sher kya kam hain
chalo qubul ki 'ghaalib' baDa suKHan-war tha
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 73)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.