zaKHm-e-dil ko tasalliyan de do
zaḳhm-e-dil ko tasalliyāñ de do
mere phūloñ ko titliyāñ de do
sach ko tum qatl kar na pāoge
chāhe jitnī gavāhiyāñ de do
chāñd taare shafaq dhanak ākāsh
in darīchoñ ko kunjiyāñ de do
ġhazleñ be-kaif ho rahī haiñ mirī
apne hoñToñ kī surḳhiyāñ de do
kyā karoge nishāniyāñ rakh kar
in havāoñ ko chhuTTiyāñ de do
hichkiyāñ raat dard tanhā.ī
aa bhī jaao tasalliyāñ de do
zulf bhī hai tumhārā 'nāsir' bhī
jo na hal hoñ paheliyāñ de do
zaKHm-e-dil ko tasalliyan de do
mere phulon ko titliyan de do
sach ko tum qatl kar na paoge
chahe jitni gawahiyan de do
chand tare shafaq dhanak aakash
in darichon ko kunjiyan de do
ghazlen be-kaif ho rahi hain meri
apne honTon ki surKHiyan de do
kya karoge nishaniyan rakh kar
in hawaon ko chhuTTiyan de do
hichkiyan raat dard tanhai
aa bhi jao tasalliyan de do
zulf bhi hai tumhaara 'nasir' bhi
jo na hal hon paheliyan de do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.