zaKHm ab tak wahi sine mein liye phirta hun
zaḳhm ab tak vahī siine meñ liye phirtā huuñ
kuufe vāloñ ko madīne meñ liye phirtā huuñ
jaane kab kis kī zarūrat mujhe paḌ jaa.e kahāñ
aag aur ḳhaak safīne meñ liye phirtā huuñ
ret kī tarah phisalte haiñ mirī āñkhoñ se
ḳhvāb aise bhī ḳhazīne meñ liye phirtā huuñ
ek nākām mohabbat mirā sarmāya hai
aur kyā ḳhaak dafīne meñ liye phirtā huuñ
dil pe likkhā hai kisī aur parī-zād kā naam
naqsh ik aur nagīne meñ liye phirtā huuñ
is liye sab se alag hai mirī ḳhushbū 'āmī'
mushk-e-mazdūr pasīne meñ liye phirtā huuñ
zaKHm ab tak wahi sine mein liye phirta hun
kufe walon ko madine mein liye phirta hun
jaane kab kis ki zarurat mujhe paD jae kahan
aag aur KHak safine mein liye phirta hun
ret ki tarah phisalte hain meri aankhon se
KHwab aise bhi KHazine mein liye phirta hun
ek nakaam mohabbat mera sarmaya hai
aur kya KHak dafine mein liye phirta hun
dil pe likkha hai kisi aur pari-zad ka nam
naqsh ek aur nagine mein liye phirta hun
is liye sab se alag hai meri KHushbu 'ami'
mushk-e-mazdur pasine mein liye phirta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.