yun to sada-e-zaKHm baDi dur tak gai
yuuñ to sadā-e-zaḳhm baḌī duur tak ga.ī
ik chārāgar ke shahr meñ jā kar bhaTak ga.ī
ḳhushbū giraft-e-aks meñ laayā aur us ke baa'd
maiñ dekhtā rahā tirī tasvīr thak ga.ī
gul ko barahna dekh ke jhoñkā nasīm kā
jugnū bujhā rahā thā ki titlī chamak ga.ī
maiñ ne paḌhā thā chāñd ko injīl kī tarah
aur chāñdnī salīb pe aa kar laTak ga.ī
rotī rahī lipaT ke har ik sañg-e-mīl se
majbūr ho ke shahr ke andar saḌak ga.ī
qātil ko aaj sāhib-e-ejāz maan kar
dīvār-e-adl apnī jagah se sarak ga.ī
yun to sada-e-zaKHm baDi dur tak gai
ek chaaragar ke shahr mein ja kar bhaTak gai
KHushbu giraft-e-aks mein laya aur us ke ba'd
main dekhta raha teri taswir thak gai
gul ko barahna dekh ke jhonka nasim ka
jugnu bujha raha tha ki titli chamak gai
main ne paDha tha chand ko injil ki tarah
aur chandni salib pe aa kar laTak gai
roti rahi lipaT ke har ek sang-e-mil se
majbur ho ke shahr ke andar saDak gai
qatil ko aaj sahib-e-ejaz man kar
diwar-e-adl apni jagah se sarak gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.