yun mere hone ko mujh par aashkar usne kiya
yuuñ mire hone ko mujh par āshkār us ne kiyā
mujh meñ poshīda kisī dariyā ko paar us ne kiyā
pahle sahrā se mujhe laayā samundar kī taraf
naav par kāġhaz kī phir mujh ko savār us ne kiyā
maiñ thā ik āvāz mujh ko ḳhāmushī se toḌ kar
kirchiyoñ ko der tak merī shumār us ne kiyā
din chaḌhā to dhuup kī mujh ko salībeñ de gayā
raat aa.ī to mire bistar ko daar us ne kiyā
jis ko us ne raushnī samjhā thā merī dhuup thī
shaam hone kā mirī phir intizār us ne kiyā
der tak buntā rahā āñkhoñ ke karghe par mujhe
bun gayā jab maiñ to mujh ko taar taar us ne kiyā
yun mere hone ko mujh par aashkar us ne kiya
mujh mein poshida kisi dariya ko par us ne kiya
pahle sahra se mujhe laya samundar ki taraf
naw par kaghaz ki phir mujh ko sawar us ne kiya
main tha ek aawaz mujh ko KHamushi se toD kar
kirchiyon ko der tak meri shumar us ne kiya
din chaDha to dhup ki mujh ko saliben de gaya
raat aai to mere bistar ko dar us ne kiya
jis ko us ne raushni samjha tha meri dhup thi
sham hone ka meri phir intizar us ne kiya
der tak bunta raha aankhon ke karghe par mujhe
bun gaya jab main to mujh ko tar tar us ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.