ye rut aza ki hai shahr-e-hazin se guzrega
ye rut azā kī hai shahr-e-hazīñ se guzregā
luTe huoñ kā qabīla yahīñ se guzregā
mujhe bachā le mire yaar soz-e-imshab se
ki ik sitāra-e-vahshat jabīñ se guzregā
tamām sañg-ba-dastoñ meñ merā shīsha-e-dil
ḳhabar nahīñ thī ki itne yaqīñ se guzregā
zamīn-e-tañg se haft āsmāñ kī vus'at tak
maiñ DhūñDh lā.ūñgā tujh ko kahīñ se guzregā
dayār-e-ġhair idhar aa ke is kī vus'at naap
ik āsmān mirī sarzamīñ se guzregā
jo ek baar tirī raah se guzar jaa.e
phir us kī zid hai dobāra vahīñ se guzregā
ye rut aza ki hai shahr-e-hazin se guzrega
luTe huon ka qabila yahin se guzrega
mujhe bacha le mere yar soz-e-imshab se
ki ek sitara-e-wahshat jabin se guzrega
tamam sang-ba-daston mein mera shisha-e-dil
KHabar nahin thi ki itne yaqin se guzrega
zamin-e-tang se haft aasman ki wus'at tak
main DhunDh launga tujh ko kahin se guzrega
dayar-e-ghair idhar aa ke is ki wus'at nap
ek aasman meri sarzamin se guzrega
jo ek bar teri rah se guzar jae
phir us ki zid hai dobara wahin se guzrega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.